Asalam o alaikom...
"Urdu poetry main "AashiQ" koo iss tarrah dikhayaa giaa hai keh wo
Ghubbar e Khakk kii tarahh idharr say udharr urrataa phirtaa hai,Apni "Khud Dari" aorr "Anaa" koo pass e pushatt daall karr apnay mehbob ki galii ka tawaff karta rehtaa haii....."
Magarr aaj kay hallat kay Paish e nazzar "Ishaq" ka manzirr naama
bhii baddal chukaa haii."Sar phiraa Aashiq" an aik aisay shakhas ka Roop dharr
chukaa hai jo apnay jazzbaay aorr Shaoor say kaam lay kar Mohhabbat kay sath sath digar Faraiz e zindagii bhii paish e nazarr rakhtaa hai..
issii hawalaa say kisi poet nay kia khoob kaha haii..
Ishaq nay seekh hi lii waqtt ki takseem keh abbb
wo mjhay yad to aata haii magar kaam kayy badddd
So Fruendzz i think "Ishaq Paishaa AashiQ" abb khall khall hii nazzar aatay hain,kia waqaie iss type ki tabdeelii aaj kal kay "AashiQ" main aa chukii hai,yaa
phirr yeh meri khamm khialii haiii?