Kaam aa saki na apni wafaayein to kya karein
ik bewafaa ko bhul na jaayein to kya karein
Mujh ko ye etaraaf duaaon mein hai asar
jaaye na arsh par jo duaayein to kya karein
Ik din ki baat ho to use bhuul jaayein ham
naazil hon roz dil pe balaayein to kya karein
Shab bhar to un ki yaad mein taare ginaa kiye
taare-se din ko bhi nazar aayein to kya karein
Ahad-e-tarab ki yaad mein roya kiye bahut
ab muskuraa ke bhuul na jaayein to kya karein
Ab ji mein hai ki un ko bhulaa kar hi dekh lein
wo baar baar yaad jo aayen to kya karein
Tark-e-wafaa bhi jurm-e-muhabbat sahi "Akhtar"
milne lagein wafaa ki sazaayein to kya karein