Results 1 to 8 of 8

Thread: JhOoT.....

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default JhOoT.....

    Jhoot

    kaya sunna chatey ho aap? Jhoot k baary mai k ye jhoot ek dimak hai jhoot ek burayi hai jhoot buri adat hai bimari hai etc...

    Ye tu ham sab jantey hi hai fir b kiuyn jhoot boltey hai ? it's a big point...?
    ye ayesa kiyn hai jiska jawaab tu hai pr uska elaaj nahi hai kiun k hamre ander ki burayi hamne dkhna hi chourd di ya fir uski salahiyat krna chourd di...

    Jhoot sirf es ek lafz ne kayi zindaghi tabh kerdi jhoot bolney waley kitni asani se bol letey hai unke emaan kiyn etne kamzour hai? q log apni garz aur faidey aur matlab k liye bewaja jhoot pr jhoot boltey hai? kiyn jhoot boltey b hai tu es had tak k unke zameer mar jatey hai ezzat hon ya zindagi ya daolat ya mohbbat sab se khilwaar hota hai kiyn kiuyn kiuyn kiyun ammi.....? es kiuyn ka jawaab hai b tu be maani hai kiyn k mera ek kiuyn na halaat badleyga na insaan na jhoot ko na jhoot bolne walon ko....

    Jhoot ki es dunya mai main such ki raoushni mai kaha se laoun ..?
    kaha tak main thakki ankhon se bebas hoker insaan k jhoot ko dekh kr b jaan ker b k ye insaan jhoota hai kuch nahi ker sakti kiuyn aami kiuyn main ne apni ammi se pocha jab mujhey jawaab anhi mila tu bebasi k ansoo roti jaoun kaha tak main jaan ker b k ye insaan jhoota hai ya ye dunya k kuch log dekh ker b hayeraton main khud ko qaid kerlo aur jhoot bolney waley besharmi ka hijaab pehn ker jhoot k naqaab main apna chaira ayesa chopatey hai k dunya tu khair ALLAH paak ka khouf b un k dilon ko chota tak nahi zang lag chuka hai unke dilon main kitne kamzarf hai unke eradey ayese log jinke dil main khufe khuda nahi zameer nahi un main ek sample si lrki kaya badal sako gi...?

    mar chuka hai unka zameer ammi jhoot k daldal main jahalat k ayine main wo apna chaira khood nahi dkehna chatey tu main kaise dikhao ammi es fasaad ka kaya koi hal nahi..? kaha tak aur kab aur kaise es kiuyn ka jawaab dhoondo? ammi ye dukh mujhe maar dalega mujhey bhut gham hota hai es baat ko soch ker main bhut udaas hojati hun mere ansoo nahi roktey meri sochein nahi thakti meri ankhein frebi chairo ko bhola ker chain ki neend sona chhati hai main so nahi pati ammi meri achayi ka sila mujhye burayi main mile such ka jhoot main wafa ka bewafayi main tu mera ji chhata hai unhe maar dalo mujhe gussa bhut ata hai mujh se berdast nahi hota aami mujhe batayiye na plz kaya main unhe saza do ya main khood ko saza don k main kaise agyi jhoot k freb main kaya ammi main bewaqoof hun waqqiyi? ammi kahyiye na plz....

    aami ne kaha beta kisi ne kaya khoob kaha hai khuda ne b us qaoum ki halat nahi badli na ho jinhe khyaal khood apni halat badlney ka main kuch nahi kr sakti un logon ka tu bhi kuch na ker bas saber ker ....
    hisaab tu zaroor honga Khuda ki adalat main main nahi le sakti kisi ki zaat se badla mere ander nahi tujh main kaisa main ne b bhut kuch dekha hai zindagi main beta meri sharafat ko main kaise maar don ayese logn k liye ?
    fir un main aur mere amin kaya farq rah jaiga ? main saaf dil dua ker sakti hun
    koi tujhey bewaqoof kahey ya kam aqal tu apni pehchaan na badlna apni ahmiyat ka ehsaas ache kamon se hi dilaya jata hai burayi se nahi beta main ya tu es duna k nizaam badal nahi sakte na logon ko lekin ha shayad meri kuch achayi burayi ko khtam kerdey ya ALLAH k khouf se hi unke soye howe imaan jaag jai khair lafz bhut chota hai aur baatein b ahem hai aur bhut saari main ne jo sikha hai meri ammi se wahi main kahongi...

    k jahalt aur jhoot aur burayi ki dimak ko bahes ya larayi fasaad ya badley se nahi mitta saktey ham buron k saath bhi acha sulook karo ye nahi dekhon k esne hamara bura kiya hai ye hamse bhut bhadur hai eski shatarat etni buland hai k ham bewaqoof ban gaye nahi beta wo insaan tu khood kamozr hai bimaar hai uske haq main dua karo uske liye hidayat talab karo unhe rahem ki ham se zayeda zarorat hai usne hamarey liye haqad rakh ker hamrey liye munafiqat ki aur hamne gusse main aker use kuchal diya tu fir ham main aur uski jahalt aur burayi main kaya farq rah jaiga beta? ayese buzdil aur kamzour log bhut hai kaha tak larey gi aur badlna chahegi es burayi ko apne eklaaq buland rakh husn eklaak ki hidayat dete hamarey rasool S.A,W aur ayese log hamdrdi k muhtaj hai bimaar hai ye log dawa k muhtaaj hai ye kamzour log kaya hamey kaya mareygey beta ye khood mare howe hai zameer se dil se ikhlaaq se jinhey ALLAH se mohbbat nahi wo hamse kaya mohbbat nibhaige meri goriya ?.

    ammi ne mere ansoo pochey aur kaha jo gunah kerte hai shaan se aur shouq se unke liye dozakh ki aag hai wo unhe khood jalaigi unhe ALLAH saza denga aur unke Amaal ka hisaab honga aur ALLAH ki maar main tu awaaz b nahi fir ham apni larayi main shour sharaba kerkey apna tamasha kiuyn banai apni mamoli taqaty ki numayish kaya kerna beta ye taqat fani hai ye dunya fani hai nafsa nafsi ka bazaar hai ye dunya kaha tak lareygi her baat bahes banke tamsha ban jaigi taqat wala tu beta ALALH hai saber ker wo khud faisla karega kiuyn k innALLAH maa sabereen aur es kiuyn ka jawaab ALLAH zaroor denga ek din such ki hi jeet hoti ahi aur hongi hamrey nabi ne tu kafron ko b maaf kerdiya tha hamra dil sache momin ka ban jai yehi ek sab se badi nayamt hai ese dimak na lagney de meri bachi ALLAH per apna aqeeda pukhta rakh mazboot rakh ALALH tere haq main kabhi kuch b bura nahi honga denga ye buzdil log jo jhoot ka sahara letey hai unse kaya darna resham beta jeet tu hamesha suchayi ki hi hoti hai ...

    such kehti hai na meri ammi unki baton se mujhey sukoon mila insaan jitne utni unki baatein zubaan per kis ki hukmrani chali hai jo ab chalegi baatein bhut hai lafz hai ek chota sa aur hazaar baatein lekin jeet tu sirf such ki hi hoti hai na girna buri baat nahi gir k uthne ka saleeqa sikha diya meri ammi ki baateon ne galti krna galt nahi hai galti ko dhurana galat hai apni achayi ko qaim rakho aur shataan maloon ki baaton main aker galt logon jaisa ban jana bhut galt hai esi liye bas etni guzarsih hai es jahalt ko qurani ayeton ki tafseel hatao fasaad se nahi inteqaam se nahi ....

    apni achayi se her burayi ko maar dalon na badlon un jahil logn k liye khood ko jineke emaan kamzour hai aur zameer mar chuke hai ham jab khood ko sahi raah dikhaige tabhi tu ham dosron ko dikha paige kisi per ungli uthana bhut asaan ahi lekin apne girebaan main jhaak kr dekhna aur apni hi salahiyat kerna mushkil hai tu aye ALLAH mujhe mehfooz rakh hr jhoot se meri islaah ker aye khuda her burayi se aur hidayat dey unhe aur es jhoote daldal se nikaal dey take wo kisi ka bura kerne k chaker main zari si khushi k liye apni jannat na gawa de apne jhoote farebi amaal ki waja se khood hi jhanum main jaga na bana ley unhey hidayat dey ALLAH aur mujhey saber Ameen Summa Ameen...



  2. #2
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: JhOoT.....

    isko parhne k lye bohat time chaye... pata nahi kahan kahan se copy paste kra hoga...
    ya pata nahi kitne dino se beth k likh rahi hogi


    will read it tomorow inshAllah

  3. #3
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Re: JhOoT.....

    ALLAH tuba tuba log likh ni saktey tu baatein banna khoob jantey hai...
    qasam se jo mind amin chal raha hai woi likha hai kahi se copy ni ki meri ammi ki baatein ai kuch share kerdi aur aaj hi shaam main likhi jalo mat aur b topic ayege tu aur b likhongi jeetne k liye nahi hunh jaker search kerlo copy kiya howa hai tu mil jaiga ufff ye do khooni dono jalkookrey.....

    aur ha kal read kerke imandaari se comments de dena warna hunh....

  4. #4
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: JhOoT.....

    astagfiruullaaahhh.... lahhoool e wila quwat...

    khatoon itne sare smiley isi liye banae thy k u ko mazak lagey... last line me likha b kal parhonga porey hosh o hwaaas me.. i know u ne khud hi likha hoga...

    likho... magar jeetne k lye nahi .. kuch acha krne ki niyat se bas....

    good.. kal parh lena comment

  5. #5
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Re: JhOoT.....

    molvi k jaisa q bole aaj hunh...?
    ok mennu pata hai kal paroge...
    main ne kounsa sirously kaha...
    khair thankx ji aapka ..
    bache bare jaldi dil pr le lete hai hr bat ko... hunh

  6. #6
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: JhOoT.....

    mujhe u ki tarah nahi hona na jabi

  7. #7
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    MERI JANAT............
    Age
    34
    Posts
    17,214
    Mentioned
    6 Post(s)
    Tagged
    175 Thread(s)
    Rep Power
    21474870

    Default Re: JhOoT.....

    mai bd mai prhti hu
    نہ جانے ہم کہاں گم ہو چکے ہیں ....
    جو ممکن ہو -- تو ہم کو ڈهونڈ لاٶ ...

  8. #8
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: JhOoT.....

    bohat acha likha ha...
    apne jazbaat ka bohat acha izhaar kia ha... bari bad-duaen b di hain ham jese logo ko
    har maa k lafzooon me sukoon hota ha... aur roya kaam kro har paragraph me roi ho...

    itna kia rona dunya k lye ...

    keep smiling and keep writing...

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •