good sharing.....
tumharey qafiley ka har gharri manzar badalta ha
kabhi rehzzan badalta ha kabhi rehbar badalta ha
libas-e-fikhra ki aarzu to sab ko hy lekin
kahan malboos k andar koi paikar badalta ha
tum ek insaan k badly hue tewar pe hairan ho
ye wo mousam ha k panchi b apne par badalta ha
chataano se usy me ne mohabbat se tarasha ha
bas ab ye dekhana ha rang-e-pathar kab badlta ha
usay to shoq hai har dil me yun ja kar thernay ka
wo kuch hi rooz me ukta k apna ghar badalta ha
agar malik k dar se janwar jata nahi khaali
to ye insaan kaisa ha jo itne dar badalta ha...
good sharing.....
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
usay to shoq hai har dil me yun ja kar thernay ka
wo kuch hi rooz me ukta k apna ghar badalta ha
excellent selection .
Zabardasttt..
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!