mere likhte hi warq bheeg gya barishon k bahany
phir wo sham b bujh gai hawaaon k bahaney

gham ye nahi k sirf wohi juda hua ha mujh se
dukh to ye ha baharen b rooth gai khizaaon k bahaney

muje to lagi ha sazish in parindo ki b dosto
mujhe dekhty hi jo ur gae fizaaon k bahaney

badley hue dekhe hain raat ko chaand k b tevar
mujhe chat pe dekh kr chup gaya badlon k bahane

ab to ikhiyaar nahi in ankhon par b wasi..
bheeg jati hain aksar usy bhulaney k bahaney