Zara Sochne Do,
Itni Jaldi Bhi Nahi Achhi,
Main Ye Tasleem Karti Hoon
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai,
Magar Ye Kya Khabar Tumko
Mujhe Kiski Zaroorat Hai,
Mujhe Kisse Mohabat Hai,

Baja Kehte Ho Zalim, Karb-E-Tanhayi,
Anokhe Zakham Deta Hai,
Faqat Ek Gham Rafaqat Hai,
Ye Chahat Apni Fitrat Hai,
Mujhe Bhi Apni Tanhayi
Bahut Mehsoos Hoti Hai,
Baatein Kya Kisiko
Muztarib Dilki Jo Halat Hai,
Musalsil Runj-O-Majrohi,
Yehi Ab Meri Kismat Hai,

Tum Achhe Ho,
Mujhe Bhi Achhe Lagte Ho,
Magar Mujhse Kahin Barh Kar,
Wo Dunia Khoobsurat Hai,
Jo Daulat Mand Armano Ki Jannat Hai,
Zara Socho Tumahre Dil Me Jo Mere Liye Hai,
Pur Josh Rughbat Aur Chahat Hai,
Ye Sab Kuch
Kya Tumhare Pyar Ki Belos Jazbon Ki,
Alamat Hai,
Nahi Aisa Nahi Hai
Is Dard Aur Ashoob Main Pyare
Wohi Kuch Besh Keemat Hai
Jo Ek Jins-E-Tijarat Hai...