very nice
Khuli jo aankh tou woh tha na woh zamana tha
Dahkti aag thi tanhayee thi fasana tha.
Gamon ne baant liya hai mujhe yuon aapes mai
Kay jaise mai koi loota hua khazana tha.
Yeh kya ki chand he qadmon pe thak ke baith gaye
Tumeh to saath mera door tak nibhana tha.
Mujhe jo mere lahoo me dubo ke guzra tha
wo koi gair nahin yaar ek purana tha.
Khud apne he haath se 'Shahzaad' uss ko kaat diya
Kay jis darakht kee tahni pe aashiyana tha.
Last edited by R. M. Dixit; 09-05-2011 at 11:10 PM.
very nice
Shukriya Nisa Ali, aapne is classical
Ghazal jo ki Janab Shahazaad Saheb ki
likhi hui hai aur Janab Mehdi Hassan ne
isko bahut he taabiyet se gaaya tha. Chalo
koi to talabgar mila. Thanks a lot. Bye.
G hum aapke profile main welcome kerne
gaye to wahan to aapka VM band hai. Safa
chatt maidan nazer aaya. So yu
joine today only. Welcome in SD, we all
are like friends. If u wish write.
Last edited by R. M. Dixit; 08-05-2011 at 05:13 PM.
nice hai......
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
nice sharing.....
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
Hi VD( versatile dost),
Thanks for attending
the Ghazal and daad se navaja.
Acha laga. So nice. bye.
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا