ZINDAGI SAY DARTY HO--
zindagi tu tum bhi ho
zindagi tu ham bhi hain
admi say darty ho
admi to tum ho
admi tu ham bhi hain
admi zaba bhi ha
admi bayan bhi ha
ic say tum nahin darty
harf or maini k rashta-e-ahan say
admi ha wabasta
admi k daman say zindagi ha wabasta
ic say tum nahin darty
un-kahi say darty ho
jo abhi nai aai ic ghari say darty ho
ic ghari ki amad ki aghahi say darty ho
pahly bhi tu guzry hain
dard na rasai k
ba-riya khudai k
phir bhi ye samjhty ho
hij arzoo mandi ye shaby zaban bandi
ha wohi khuda wandi
tum mager ye kia jano
lab ager nahin hilty haath jag uthty hain
rah ka nishan ban ker
subha ki zuban ban ker
haath bool uthty hain, subha ki AZAN ban ker
roshni say darty ho
roshni tu tum bhi ho
roshni tu ham bhi hain
shahaer ki fasilon per dio ka jo saya tha
pak ho gaya akhir
raat ka libada bhi chak ho gaya akhir
khak ho gaya akhir
izdaham-e-insaa say fard ki noo aai ha
zaat ki sada ai
rah-e-shook main jayssy
rah-rahon ka khoon tapky
aik naya janon lapky
admi chalak uthy
admi hansy daykho
shahar phir basy dakho
haan abhi tu tum bhi ho
haan abhi tu ham bhi hain
tum abhi say darty ho