Results 1 to 5 of 5

Thread: Eak Gereeb Bacha...

  1. #1
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Eak Gereeb Bacha...

    Eak Gereeb Bacha...
    2q39fuw - Eak Gereeb Bacha...
    Eak greeb bacha bhook se bilbila raha hai bewa maa rote howe ansoon ponch ker lakrion pr pani rakh k kah rahi hai k beta khana pak raha hai thorda sa saber krle mere laal abi ban jaiga ab banega tab banega mager kab banega ye us maa k rote howe ansso se pocha kabhi kisi ne k wo bhook si bilbilatey abchon k liye apna khoon tak baich ker do waqat ki roti lati serkon per bhaagtey daortey bheek magtey howe sukhi fenki howi roti ko utha ker khushi se khaney waley en gareebon ki zindagi per ek nazer hi daal ker dekhon aur b dard naak gham zada log hai jiska samna ye greeb roozana kertey hai kabhi kabhi us maa k bas main ho tu apne khoon ka qatra qatra bech dey per bebas un k liye hi apni saansey bacha ker rakhti hai kiyn ye sab daolat mandon aur ameeron ko nahi dikhta...?

    zara sochyiye kaisa manzer honga ye jab ek gareeb maa ko uske bachon se jhoot kehna parta hai take k bhook se bilbiltey bachey us se dekhe nahi jatey aur ayesa kah kah k saarey bachon ko badi mushkil se bhooka hi sula deti hai us per kaya beetti hongi . kari dhoop main paglon k jaisa bhagte howe serkon per koi bheek mang raha hai tu koi unhi bhook se tarp ker sarkon per bimaar mar jata hai aur use sabhi nazer andaz ker detey hai kiyn wo insaan nahi hai ?...

    be roozgari aur gareebi ek ayesa marz hai jiski koi dawa nahi ayesa gahm hai jiska samna roozana kerna parta hai aur hamesha kaya ehsaas nahi en onchi emaarton k daolat mandon ko enka zameer kaha hai...?
    ye apna shokh pora kerne disco ja saktey hai movie aur race aur tafree picnik shopping wagayera k liye hazaaron gawa saktey hai lekin ek bhokey bachey ko khana nahi khila saktey ek gareeb ki zindagi sawar jai uska addminition kisi b school main karana unke bas ka kaam nahi arey ye tu chordo ye apna bacha howa khana fenk saktey hai lekin kisi gareeb ko dena unhe charwa dena samjhtey hai ayese ameeron k beech main ye greeb bacha rooz bhooka sota yaha chawal ki patli boji se apna pait bherta ye bewa aurat ghar gahr bhatakti kaam k liye tu us se sao sawaal kerke kuch kaam detey tu hai ye ameer per bahana kerke bina paisey diye nikaal detey hai tu wo greeb apna khoon bech ker do roti lati hai es bchey se bhook berdasht na hoti tu wo akser onchi buidling k qareeb fenki howe kachrey ki cheezon main roti dhondta hai aur use mil bhi jata hai khana aur wo choop ker apni maa se chopa k khaa leta tak use dukh na ho k aaj pait ki aag ne use es qader majboor kerdiya hai ... na uska koi future hai na use gareebi ne koi haq diya aur na hi en ameeron k dil main unhey dekh ker dard hota hai maaashrey ki deemk kahaa jata hai enhe ye apne ayesh wo araam aur apne fazpoul shoukh main sab kuch ker saktey hai lekin enki tarf ek hamdardi ki nazer hi utha ker dekhey koi tu janey enhey do roti k liye kitni mushkilaat ka samna kerna parta hai koi hai jo enki tarf ek nazer raehm ki dikhai ya enki bhook ko samjhey...?

    deen aur eslaami baatein kerney waley molvi masjid k naam se laakhon ruppey ka chanda jama ker lete hai jo kaya unhey nahi pata k ALLAH tu her masoom bachey main basta hai enke liye kuch akrey...
    ya fir unhe koi asra kiyn nahi deta?

    yateem bewaaon aur gareebon per jo rahem nahi kertey wo kaise musalmaan hai kisi mazloom ki madad kerna bhi insaniyar hai fakeeron aur garebon ki madad ka kaha hai fir kiyn ham unhe nazer andaaz kertey hai....?
    Aye daolat walon kabhi bhook se bilag ker roti howi anhon se roti dhoondtey howe bachon ki tarf b dekhon
    jo zaya khana aap fenk sakte hon usi se kam az akm kisi gareeb ko khila ker b dekhon tu kitna sukoon milta hai be roozgari k azaab se guzer k kabhi dekha hai ...?
    kabhi dil per pather rakhen wali ayesi maaon se milker dekha hai? jisene apne bachon ko bhooka sulaya hai...

    ALLAH ki nayaamtein tu bhut hongi aapke paas lekin gareebon ko dene wala dil nahi ek gareeb ager roz derwazey per ajaiga tu yehi kahonge k esne bheek mangne ki adat paal li hai rooz ajata hai aaj ese bhaga don kiyn aapko rooz bhook nahi lagti ...?

    wo gareeb fir kaha jaiga jis ghar se aas baandi thi usne b bhaga diya tu...? bade afsoos aur dukh ki baat hai ayese greeb hazaaron milegey mager ek dildaar nahi milega jo unke liye kuch kerkye take wo kabhi bheek na mangey kuch disco aur sharaab ya fazoul shoukh ka paisa naik kaam main laga ker dekhe tu kaya honga...?
    baat samjhney ki mehssos kerne ki hai ALLAH unki madad kare aur ham sabke k dilon main unke liye rahem ata karey ...Ameen

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Eak Gereeb Bacha...

    nai parh sakti........

    jitna parha wohi buht hai.............

    or kaya kahon dua k ilawa kch b nai...ya girtay hoye ansu hain...
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Eak Gereeb Bacha...

  3. #3
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: Eak Gereeb Bacha...

    Sum Ameen

    Nice Sharing
    پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا

  4. #4
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Eak Gereeb Bacha...

    writer wohi hota ha jo in cheezon ko mehsoos kr k likhta ha...
    agar aysa ha to i don't belive that is written by you coz me ne sirf first para parha ha...

    yehi kahonga k Allah ka har pal shukr b aada kren to hum us ki naymaton ka badla nahi dy skte... magar insaan na-shukra... kese kese gham paal k dukhi rehta ha

  5. #5
    Join Date
    Jun 2011
    Location
    islamabad
    Age
    34
    Posts
    90
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Eak Gereeb Bacha...

    thank you to share with us

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •