nice
Teer tera jiske seene se guzer ker jayega
Aap jayega guzer, per dil mai ghar ker jayega.
Wo maqame aish hai duniya ki yaan se jeete ji
Kaun jaata hai, ger jayega, mer ke jayega.
Chupke-chupke nala (Rona) kab seene se
jayega nikal,
Jayega jis waqt, ye sab ko khaber ker jayega.
Imtehan kerti nahin mohabbat ka, parvane se shama
Ger khaber hoti ki khairaat is kader ker jayega.
Ker gaya ger ek tabbasum baag mai aaker wo gul
Dekhna gunche ke 100 tukre, jiger ker jayega.
Jazba-e-dil kheench he laiga us khudkaam
(matlabi) ko,
Kaam apna ek in yeh, A 'Zafer' ker jayega.
Last edited by R. M. Dixit; 13-05-2011 at 05:20 PM.
nice
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
Shukriya ST aapne Jafer
saheb ki likhi Ghazal ko tavazzo
di and Saraha. Dersal ye ghazal
maine MK ke main present ki thi
per ek Sher " Imtehan kerti nahin
mohabbat ka, pervane se shamma,
ger khaber hoti ki khairaat is kader
ker jayega.
Ye Sher main likhna bhool gaya tha, tabhi
ye Ghazal MK se SOS me move kerde. Aaj kal
bari sakhti chal rahi hai. Kadam phoono-phoonk
ke chalna hai. Ye Sher maine abhi he milaya hai
ST please read it now. So nice.
Last edited by R. M. Dixit; 13-05-2011 at 09:35 AM.
Very Nice