Quote Originally Posted by Paras View Post
Kitabon se Shagaf yaqenan har bazoq insaan rakhta hai! Sd pe bhi yaqenan aise log honge! lehaza zara apne Sd frnds se tu share kijeye k aap kis kisam ki buks parhte hain? aur yeh shoq aap ko kab se hai? kon si kitab aap ki fav hai aur pasandedgi ki waja bhi batayen! koi iqtibas wagaira us se share karnachahayn tu kijeye , zara humay bhi tu pata chalay k aap kaisa zoq rakhte hain
zabardast thread na :X.. mujhey shoq to bahout hai perhnay ka .. mager time akser short hojata hai ..
..mujhey deeni kitaaboo'N se thora ziydah shaghaf hai aur waa'z waghera per ziydah tawajja rekhti hoon to isliay .. tohfa-e-khwateen , bikherey moti , tabieen k waqiyaat nama-e-amaal , shaitaan ka kirdaar , zubaan k afatain .. jin main waqiyaat k hawalay se bataya gaya hai .. ziydah pasand kerti hoon .. poetry bahout pasand hai laken uski kabhi baqaidah book nahi li .. net zindahbaad ..