-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
haye aapo
yeh book stall dekh ker me ke moun mein pani aying
i just love books na
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
~I can't change fOr anybOdy~
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
me b dekhti rahi subha bus is pic ko
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
merey bhe
hijabo u ka taste bhe bht acha hai wahan urdu novels or books mil jatin??
~I can't change fOr anybOdy~
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
aray yara, u ko bataya tu hai , ancholi k grace hall main puray ramzan lagta hai buk fair, woh bhi 20 se 30% discount par , han ji yeh buks me ki hain ,aur bhi boht buks hain , poetry ki bhi aur nasar ki bhi , han muhabbat tu boht hai buks se lekn tym nhi milta, teaching ne yeh shoq cheen lya mujh se, me ki aik frnd ne mujh se tuition li thi,M.A karwaya us ko , us ne phir mujhe gift mein Alakh Nagri di , Alipur eili ka doosra hissa, woh tak nhi parh pa rhi , aur bhi boht se novels , islami buks wagaira hian , aur pta hai Ibn-e-Khuldoon ka pura set hai 9 se 10 jildon par, 3 se 4 saal hu gaye, boht shoq se mangwaya tha lekn parhna abhi tak naseeb nhi hua ! u ka collection bhi hu jaye ga waqt k saath saath , main ne Nonehaal se start kya tha jama karna, aaj Allah ka shukr hai Nonehaal se Adabi buks tak sab hain,leken aksar log atay hain shelf se nikaal k le bhi jatay hain aur wapas ya tu karte nhi ya muddaton baad karte hain!
u ko buk fair ka shoq na , Ramzan main prog bana lijeye, ! boht acha lagta hai wahan jana!
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
han yara, u ki buks se muhabbat ka andaza hai mujhe !
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
mujhe nahi hai shok books parhne ka halan k meri ami or sisters ko bara shok hai meri ami kabi news paper nahi miss karti hain par mujhe pta nahi ku nahi hai shok shayad apne abbu k upar chali gai hon jo sirf headlines hi parhte hain
mene apni zindagi mai ab tak aik hi novel parha hai or wo tha the kite runner and i love it .. mai sahi ki addict hogai thi jab tak yeh khtam nahi hogaya tha bohat maze ka novel hai..
sis ne hi chor dia k apni kisi frnd ko de dena tu mai farig thi tu socha parh hi lon shoro kia aik chapter huwa maza aya fir bus pura hi karke chora us k baad se aaj tak koi kitab nahi parhi hai siwaye kuch apne course k wo b bech bech mai se
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
kia kehnay hein aap ke
yeh Kite Runner woh aik indian larkay ki story wali book hai ya woh Afghani larkay wali
mein ne yh naam suna bohat hai, yaad nahi aa raha ke parhi hai ke nahi
-
Re: Kitabain Jhankti Hain! (Enterteinment Week)
afghani larke wali hai aahhoo best seller thi shayad yeh.. tabi meri sis ne de dia meko or aawein bus parh b lia
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules