Bachpan main me bhi baqi sab ki tarhan Chota howa karta tha aur chotay hotay howay Masti ki khujli zayada hoti thi hum nai Zid kar k Candle say chalnay wali aik boat li kuch din to ghar main Tub main chalatay rahay patar patar kar k fir aik din hamaray Bachpan k dost Raheel nai kaha k chal isay aik Lash jaga par chalatay hain maza ayega
Lash jaga ki tafseelat jannay ka time kis k pass tha dost tha andha yaqeen tha k waqyi lash jaga hogi aur chal paray hum 4 loog ... Main , Raheel .,, Raza (Raheel ka Chota Bhai) Aamir (Raheel ka Bara Bhai) Yasir (Hamaray hi plaza ka 2nd neighbor
thora hi chalay thay k samnay Nala agaya Raheel nai kaha kishti Rakh Nalay k apni main aur Candle jala me nai na chahtay howay thora sa muskuraya aur kaha ... chal bay main nahi chala raha ganday pani main wapis jaraha hon ... Raheel nai kaha chal laaa dai main chalata hon me nai kishti dai di ...
Hum Nalay ki Oot ki Deewar par Sari hoi garmi mai bina kameez aur adhi adhi patloono k nalay par aik sath say side ki boundary wall ko pakray Bhoolron (bandron) ki tarahn latkay howay thay ...
Yaqeenan app logon k ankhon k samnay pora scene set hogaya hoga khair Raheel nai Boat par rakhi candle ko jala aur kuch seconds main boat pat pat pat pat kar k chalnay lagi daikhnay main to buhat maza araha tha ... aur aisay main Nalay ki Booo kisay ani thi sara dehan aur naaak ka dehaan to Boat par tha ittay main boat chalti hoi nalay ki dewar say takrayi aur ulat gayi ab kon dosri side jaye aur boat ko seedha karay main nai Raheel say kaha k jaa tujhay thi na yahan chalanay ki too hi ja kar seedha kar Raheel k baray bhai ka khoon rang laya aur kholtay howay bola kiyon bay too kuch ja na teri boat hai yeh keh kar us nai zayada kuch nahi buss itna kia k jis aik hath say main side ki deewar ko pakar k adha latka howa tha us kambakht nai wahi hath jhatkay say hata diya
buss jee fir kia main aur yasir Nalay k Saaf Shaffaf khushbodar pani main ja pohanchay ... us din pehli baar hamain andaza howa hai Garmi chahay jitti sakht kiyon na ho Nalay ka pani Dhoop ki tapish say Garam nahi hota
Naaf tak Pani main thay kashti utha k Raheel k hath ka sahara lai k bahar nikal aya aur bahar nikalnay par pata chala k asli kaaala rang kisay kehtay hain ...
Jism ajeeb 2 rangon sa ho raha tha Uper ka hissa Chocolate color ka jisay main kehta tha aur neechay ka dhar Kala jisay pori duniya hi kaala kehti hai
buss shukar hai k Raheel loog aur Yasir Loog ab muhallay main nahi hain warna maheenay main aik baar zaror is qissay ka dars open muhallay ki awara baithak main hota tha
aur khabardar jo is dukhi kahani par koi hansa
lolzzzzzzzzzz ...
candle wali kashti tou me pass bhi thi per shukar me k kisi dost ka naam raheel nahi tha ...
mjhee pata hai sb nikammay hain phle aap phle aap kahenge islye main khud hi start karta hun
is waqye pe mera aaj tk ghar main bht record lagta hai
ek dafa main punjab main tha... bhai...mom... cousins k sath kheton (fields) ki ser ko gye bail gari pe ... main cousins k sath kinare pe betha tha bail gari k aur bail sahiba bht tezi se apni manzil ji janib gamzan then ... to hwa ye k ek khadda type aya aur main bail gari se neechay digg gya ( gir gya ) neechay girne k bad andaza hwa bail gari waqai speed main jarhi hai main peechay bhaaga sath sath rokne ka kehta rha par bail ne meri nhi suni kuch der bhag kar bail gari tk pohancha aur beeha main ho kar beth gya
cousins ne us waqt aur ghar main aaj tk mera record lagta hai is qissay pe
bail sahiba ufff iffi aab is pe tu hum saro ne kit lagani hai u ki