Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar
Ae Ishq Na Cher Aa Aa Ke Humein
Hum Bhooley Hoon Ko Yaad Na Kar
Pehle Hi Bahut Nashad Hai Hum
Tu Aur Humein Nashad Na Kar
Qismat Ka Sitam Hi Kafi Hai
Ye Taza Sitam Iijaad Na Kar
Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar
Raaton Ko Uth Uth Kar Rote Hain
Ro Ro Ke Dua’ein Karte Hain
Aankhon Mein Tasavvur, Dil Mein Khalish
Sar Dhunte Hain Aahein Bharte Hain
Ai Ishq Ye Kaisa Rogg Laga
Jeete Hain Na Zalim Marte Hain
In Khwabon Se Yun Azaad Na Kar
Jis Din Se Bandha Hai Dhyan Tera
Ghabraye Huye Se Rehte Hain
Har Waqt Tasavvur Kar Kar Ke
Sharmaye Huye Se Rehte Hain
Kumhlaye Huye Phoolon Ki Tarah
Kumhlaye Huye Se Rehte Hain
Pamaal Na Kar Bedaad Na Kar
Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar
(Nayyara Noor Ki Awaz Main Aur bhi khoobsurat Lagti hai Yeh Nazm)