Ager tum dhoondhna chahoo
too main tum ko
khizan rasida, be saya darakhtoon main miloon ga
jahan mehtaab se mehroom ratoon ko khizan aaram kerti hai
jahan girtay hoay patoon ke matam main
hawa ka saaz shamil hai
meri awaz shamil hai
ager tum dhoondhna chahoo
too main tum ko
kisi veran basti main
kisi be-aab sehra mai miloon ga
ke main sehra ki urti rait ke zaroon ka hisa hoon
koi bhooli kahani hoon
koi qisa purana hoon
kisi din tum jo aa niklo
kisi veraan qariye main
kisi aisay kharabay main
jahan koi nahi rehta
jahan tareek ratoon ko
khamoshi cheekh ker apnay makinoon ko bulati hai
achanak is kharabay main
kahin baitha hua dekho
kisi tanha musafir ko
too phir itna samjha lena ke tum nay pa lia mujh ko
ager tum dhoondhna chaho!!