Quote Originally Posted by Silent Tears View Post
Qaza Namazon Pe Sirf Tauba Wajib Hai Qaza Nahin

Kyun Ke Kisi Bhi Hadees Ya Quran Ki Aayat Main Qaza Namazon Ka Zikar Nahin Hai

Islah Farmaiye

Quran Aur Sahi Hadees Ki Taraf Rujoo Kijiye
app kis ki dalil ko samnay rakh k yeh keh rahay hain yeh mujhay nahi maloom ... Imam Abu Haneefa (R.A) k taqleed karnay walon k liye jo Masayeel hain un main yeh baat ahadees say sabit hai k Qasa Namazon ka Ada karna Zarori hai ... jesa k Ahadees bayan ki gayin hain ...

Darul Uloom Deoband ki Official Website say Aik MAsla copy kiya hai ... Mufti sahab sawal ka jawab daitay howay taqeed kar rahay hain k ahtimam k sath qaza ada karain aur note kartay rahain ... reh janay ki soorat main fidya dain .. is say andaza lag saktay hain k kitna aham masla hai yeh

Deegar tafseel jannay k liye Mufti sahab say app khud bhi rabta kar saktay hain