~Sach Batana Papa~
sach batana papa
kya aapko bura lagta hai
jab hum shayar log
sirf maa ki baat karte hain
aur aapko nazar andaaz kar dete hai
pyar to aap bhi hum se
utna hi kartey they
jitna ammi karti thi
fark sirf itna tha
ammi keh diya karti thi
aap chupa liya kartey they
mujhe yaad hai
maa khana banati thi
aap aata latey they
mirch masaley sabzi ki parchi
maaa banati thi
aur cycle per beth kar bazar se
aap laatey they
ghar ki char dawari mei
ungli pakad kar chalana
ammi ne sikhaya tha
per ghar se bahar ungli pakad kar
aap hi lekar gaye they
maa ne meri parhayi ke liye
apney zevar bechey they
to aap ne hi kahi na kahi
apni ana ka zevar becha tha
Per aaj aapka beta shayar ho gaya hai
Aaj usko apni maa ki mamta to yaad hai
Per apne baap ki shafaqqat bhool gaya hai
Kyuki mene maa ke aansu to dekhey they
Per baap ke chehre ki udhasi nahi samjhi thi
Mein tab bhi khudgarz tha
Mein ab bhi khudgarz hun..
Per aap batao
Kya aapko bura lagta hai
Jab hum shayar log
Sirf maa ki baat kartey hai
Aur aapko bhool jatey hai……
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...