jis din se joda vo humse hua
is dil ne dharkna chor diya
hai chand ka mooh bhi utra utra
taaron ne bhi chamkna chor dia.
'
Is Baar App ko jo mouzoh De rahe hon..
wo hian Chand Sitarey ..Is Per Nazm Likhye ga.
Rules :
1 ... Aik member aik he bar Share Karsakta hai.
2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 June hai.
4 ... Winner hum khud decide karey gai.
jis din se joda vo humse hua
is dil ne dharkna chor diya
hai chand ka mooh bhi utra utra
taaron ne bhi chamkna chor dia.
apni likhi hoe ho
jee poet club main apni he shairi share ki jati hia.
ok phir me yahan sa going
Meray sajan....
(aik larki kay dil ki tarjumani pesh kar raha hun apni is nazm mai)
woh lamha meray sajan
jab tumharay shanon par
apna sir tika kar mai
raat kay kalay ghonghat mai
chand aor sitaron ko
jab khoob taka karti
tu tum yeh mujh say kehtay thay
q dub si jati ho
chand aor sitaron mai
tab mai tumhari ankhon mai
dub kar yeh kehti thi
mujhay chand aor taron say
mohbbat bohot gehri hai
tab tum yeh kaha kartay
mai tumharay jevan mai
chand aor sitaron ki
dehleez hi saja dun ga
aor mai chup ho jati thi
aor muskura deti thi
ab jo tum gaye pardais
chand aor sitaron ki
aik dehleez kay waday ko
meri khatir nibhanay ko
magar tum laut na ayo gay
khata tu yeh meri hi thi
chand aor sitaray kab
zameen par mila kartay
kash mai tum say tab
faqat yeh keh deti
mujhay chand nahi chaye
mujhay taron say nafrat hai
mujhay sirf tumhari zarorat hai
BY AIN
Mujhey chaand k us paar jana hai
ek khuwaab meri khuwaish ka
jise rooz palkon se main ne choona
kuch ansoo mere gham k thy
kuch arzoo mere dil ki thi
jise rooz main kehti sunti thi
ek khuwaish meri thi chaand ki
mujhye chaand k us paar jana tha...
mujhye falak ki goud main sona hai
main sitaron ko choona chati hun
mujhey chand se batein kerni hai
mai ne chaand ki nagri jana hai
jab jab main ye kheti rehti thi
sab log prai mujh per hastey thy
main pagal hun wo ayesa kehte thy
mujhey chand ki sair kerni hai...
ye zid apni pori kerni hai...
mujhey sitaraon ki nagri tum le chalon
main sab se ayesa kehti thi...
waha log mere jaisey hai...
apni duna main khush rehty hai
mere dil mai basi hai jo chandni
mujhey palkon per ese sajane don
meri anhokn mai jo tha khuwaab saja
use dil main utar jane don...
mujhey bas chand ki nagri jana hai
main jis dunya main rehti hun
waha dard ki barish main ankhein bheti hai
mere dil k tukrde kerke sab....
yaha k log mujh per hanstey hai
bat be bat taane kaste hai
main hans do tu wo pagal kahe
main jo ro don tu wo darama samjhe
main mohbbat karo tu wo badnaam kare
main nafrat karo tu unko bagwat nahi pasand
akhri main kaisey yaha saans le sako
jo meri burayi bas ginte hai...
kaisey main kisi se dil ki baat kahun
mujhey sab pagal samjh k chal detey hai
ye dunya mujhey meri nahi lagti ...
yaha k log mujh se kiyn jalte hai...
ye log mujhe apna samjh na sakey
main sitaron ko dost banaongi...
main taaron se baatein ker k sojaongi
Jab jab chand nikal k ayega
main use bahon main le ker
use es dunya ki baatein bataongi
wo chaand etna haseen hai ke
use koi aaeb mujh main nahi dikhta
wo dunya matb ki nahi hai
wo dunya mere jaisi hai
main chand ki agosh main rah ker
waha chain se jina chati hun
mujhey tum us paar le chalo..
jaha log sab mere jaisey hai..
jo chaand se baatein ker k sotey hai...
mujhey chand ki nagri jana hai
mujhey chand k us paar le chalo....
my own...
Last edited by *resham*; 14-06-2011 at 06:47 AM.
woh ik Achi Larki hai
Chaand aur sitaron mein
jane kia dhoonda karti hai
shayad apne pyaron ko
shayad bicharne walon ko
Najane Kis Ne..
Usko yeh batlaya tha
rooth jaye jab koi
duniya chor de jab koi
sitara woh ban jata hai
aur jagmagata hai
tab se woh achi larki
raat andhere dair talak
Chaand aur sitaron mein
Jane kia dhoonda karti hai
Shayad Apne Pyaron ko
Shayad bicharneY walon ko...
Mishaal....
Alhamdullilah