Ashfaq Ahmad ka haii....
Assalamualikum
June k Comp k Saath Hazir hain , is month aap ko Adabi Kitabon main se Jumlay share karne hain! jaisa k aap iqtibas share karte hain leken jumlay main sirf lyn ya 2 lyns tak share karna huga , yaani jamay andaz main aik muqammal jumla !
Maslan:
Khalil Jibran Kehte hain k
"Muhabbat qabaza nahi karti aur na hi is par qabza keya ja sakta hai kyon k muhabbat k leye muhabbat hi kaafi huti hai"
ab daikhte hain k kon behtreen jumlay share kar k apne zoq ki nishan dihi karta hai , writer k leye aap azaad hain leken naam agar likh dain k jumla kis writer ka hai tu zaida behtar huga!
Rules :
1 ... Aik member aik he bar Share Kar sakta hai.
2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 June hai.
4 ... Winner Admin Team Khud decide karay gi !
tujhe bnaya ha us ne tu kya chor de ga?kabhi maan mailay mai bache ki ungli chorti ha?agr choot bhi jaey tu bacha itna bayqrar nahi hota jitni maan hoti ha. phir Allah insaan ko kaisay chor sakta hay..tujhay kaisay chor sakta ha..us ki nzar mai jo aik bar ajata hay humaisha rahta hay..(written byumaira ahmad)
Ishq -e-Haqiqi aik darakht hay aur Ishq -e- Majazi uski shaakh hai
Ashfaq Ahmed
kisi ko dhoka nahi daina,dhokay main bari jaan hoti hyye kabhi merta nahighoom phir ker aik din wapis ap k pas he pohanch jata hy q k is ko apnay thikanay say bht mohabbat hoti hy..............................
by Ashfaq Ahmed
Agar dunya ki zindagi ka anjaam mout hai to is se kia faraq parta hai k hum aik lamha zinda rahain ya aik saddi tak, mernay walay ki qabar se dunya sirf yeh pucha karti hai k tum zindah rahay to kis shaan say aur merray to kis Aaan say.
Naseem hijazi
Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad
Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad
Closed