baithi hay woh intezaar main saipahar se
maa kab aayenge baba pochay betabi se
khilay masoom chehra baba ki dastak se
daur ker lipat jaaye baba ki taangoon se
masoom andaz main kaha apnay baba se
BABA GURIYA LAA DO NA
baba usko gaud main utha kar muskarata hai
bari mohabbat se beti ko apni bosa deta hai
seenay se apnay chimta ke woh yeh kehta hai
aaj bohat thak gya beta or kal pe taal deta hai
sun k beti ki yeh fariyaad woh aah bharta hai
BABA GURIYA LAA DO NA
baad iss ke jaye woh khailnay apni sehliyon se
sajaaye doosroon ki guriya ko iss umeed se
banaongii dulhan guriya ko apni kal piyar se
karay widaayi guriya ki woh num ankhoon se
aur mun mun main woh kahe bari hasrat se
BABA GURIYA LAA DO NA
aa ke ghar baithe maa ki aagosh main laad se
maa khaanaa khilaaye uss ko baray piyar se
kuch sooch ker munh phairay woh khanay se
khaongi khana saath guriya ke kahai maa se
jaa k phir masoom si zid karay apnay baba se
BABA GURIYA LAA DO NA
dekh na paaye beti aansoon ko chupata hai
dil k andar hi apni ahaon ka gala dabata hai
or muskarati ankhoon se beti ko manata hai
apnay hathon se phir usko khana khilata hai
kuch yonhi beti ko iss zid se chup karata hai
BABA GURIYA LAA DO NA
baba uss ka jab raat ko soonay jaata hai
beti ko woh apnay seenay pe sulaata hai
bund ankhoon se apne kal ko sochta hai
anginat zarooratoon main woh khoota hai
soch ke beti ki yeh fariyaad woh roota hai
BABA GURIYA LAA DO NA
bas ab yeh qalam bhi haara chuka iss gurbat se
hay lub-e-Aman pe bas yeh ek dua ALLAH se
na rahaIn hasratain zindagi main nayi subah se
yeh bachi khaile sang sehliyon ke apni guriya se
phir kabhi yeh bachi kah na sakay apnai baba se
BABA GURIYA LAA DO NA
BABA GURIYA LAA DO NA