Naam bholay se jo kabhi mera aya ho ga
Gair mehsoos tareqay se vo chonka ho ga
Aik jumlay ko kai bar suniya ho ga
Baat karty huwe vo so bar bhula ho ga
Ye Jo larki naye aye hai, kahin who tu nahi
Ous ne har chehra yahi soch kar dekha ho ga
Jan-e-mehfil hai magar Aaj faqat meray bagir
Haye kis darjah who bazam main tanha ho ga
Kabhi sannaton se wahshat jo hoi ho gi ousay
Ous ne bay sakhta phir mujh ko pukara ho ga
Chaltay Chaltay koi manoos si Aahat pa kar
Doston ko b kisi uzar se roka ho ga
Yaad kar k mujhy num ho gai hon gi palkain
“Aankh main par gaya kuch” kah k ye tala ho ga
Or ghabra k kitaboon main jo li ho gi panah
Har satar ma mera chahra ubhra aya ho ga
Jaab mili ho gi ousay meri Aalalat ki khbar
Ous ne Aahista se dewar ko thama ho ga
Soch k ye k bahal jaye pareshani-e-dil
Younhi baywajah kisi shakhs ko roka ho ga
Ittefaqan mujhy ous sham meri dost mili
Mainay pocha kay suno….
Aye thy who?
Kaisay thy?
Mujh ko pucha tha?
Mujhy dhoonda tha charon janib
Ous ne aik lamhay ko dekha mujhy
Or phir hans di
Ous hansi main who talkhi thi k ous say agay
Kya kaha ous ne…..Mujhy yaad nahi
Lakin…
Itna maloom hai k
Khwaboon ka bharam toot gaya