Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 11 to 20 of 30

Thread: Raigaan si aik Musafat part1

  1. #1
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    41
    Posts
    1,173
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Raigaan si aik Musafat part1

    jisy aap rooh ki gehraion se chaty hon, jo aap ki ati jati sanson men door tak basa hua ho, jis k naam aap nen apni sari zindgi or zindgi ki sari khushian kar di hon, zaroori nehin k wo aap ka ho bhi jaye, ye sab to qismat k khel hen, qismat chahy to usy aaap ki jholi men daal de or chahy to usy aap se sadion ki musafat py khara kar de.or aap k daman men us shakhs ki siraf yaden reh jayen.
    Yaar men nen to hmesha tujhy payar ka munkar hi jana, or tum nen hmesha yehi tasur b dia hmen, men to samajhta tha k tu kabhi kisi se muhabbat nehin kar sakta, mgr ye sab kya he mere yaar ...
    Aman nen pareshan hoty hue kaha ...
    Jo shakhs Muhabbat ka jitna bra Munkar hota he ye Blaa usy utni hi shiddat se apny hony ka ehsas dilati he, or esy Munkar logon ko jab Muhabbat hoti he to unki Muhabbat ki kahanian banti hen Aman.
    Men nen Mushkil se Muskuraty hue kaha ...
    Mgr fir ye udasian kiun mere Bhai, Rooh men ye draren kis lie ??? Aman nen preshan hoty hue kaha ...
    Chor na yaar ye sab Muhabbat ki ataayen hen or mujhy azeez tar hen, chal chor tu suna kesi guzar rehi he ? men nen topic badalny k lie baat badli.
    Ary mujhy chor men theek hun, mgr tu nen ye kya haal bana lia he ? na chehry py wo hansi na ankhon men wo chamak, mujhy yaqeen dila k tu whi Arham he jis k bina parties adhoori samjhi jati thin, jis k qehqehon ki goonj poory Campus men goonja karti thi, Mujhy us Arham se milao jisy haar kisi keemat py qabool nhi thi, Toofan k jesi zindgi yun achanak nehin tham sakti yaar, mujhy bta tujhy kya hua he teri ye kafiat dekh k meri sansen thamti jaa rehi hen, mujhy saaf saaf btao hamara Arham kahan kho gaya ? ... Aman nen jhallaty hue kaha ...
    Toofan ? hahahaha
    Tumhara Arham Toofan hahahhaa
    Bohat ooncha urna chaha, mgr lamha bhar men hi garad-e-karwan hua, or esi garad-e-karwan jisy log manzil py pohanchny se pehly hi jhar dia karty hen, lambi kahani he yaar bus itna jan lo k zindgi meharbaan nehin rehi ... Men nen kaha ...
    Nehin mujhy bta ye sab kesy hua he ? Aman nen zid krty hue kaha ...
    Chor na yaar koi or baat kar Raakh k dher ko kuredny ki koshish mat kro, kehin kisi dabi hui chingari nen sar utha lia to draron se bhari ye rooh Raakh ka dher ho jaye gi ... Bus itna jaan lo k ...
    Muhabbat Rog he dil da ...
    Idy which ghum hi ghum milda ...
    Men nen kaha ...

    Yaar Muhabbat to zindgi men rang bharti he, Muhabbat to esi bahar he jo kabhi nazar-e-khizan nehin hoti, Muhabbat khushi he, Rangeeni he Tazgi he mere yaar ...
    Aman nen alfaz se Muhabbat k zakhmon py Marham rakhty hue kaha ...

    Han shayed tu theek kehta he, Muhabbat ye sab kuch he jo tum nen kaha, Mgr sab naseeb ka khel he yaar, Exames, Races k sath sath zindgi k har medan men Qismat nen mera sath dia magar Muhabbat ki is bazi men Qismat mujh se rooth gai, Or dekho sab kuch chin gaya ...
    Men nen kaha ...

    ye ghar, office, Car, sab he magar wo nehin he to kuch b nehin he, sab kuch hoty hue b Tehi daman hun Men nen kaha or 2 ansoo tapak k ankhon k kinary bhigo gaye ...
    ye tu kesi baten kr rha he yaar, chal uth ghar chal or Manahil b tujhy miss krti he chal k usy b mil le, or darakht se taik lagaye mere badan ko sahara de k uthaya or ghar le aya ...

    To Be Continude ...
    1685832isukvduehw - Raigaan si aik Musafat part1

    Tumhari Bewafai doosron pey kiun ujagar ho.
    Mry kuch Khat tumary pas hen un ko jla dena

  2. #11
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    41
    Posts
    1,173
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Hijaab View Post
    feelings pure hein
    likha bhi acha hai
    but jaisay aap kehtay hein k apni apni soch hoti hai to
    yeh bhi khalis meri souch hai ke
    yeh ibtdaye mohabbat bus dhoka hai.
    is se jitni jaldi insan bahir aa jaye behtar rehta hai
    Thank u sooo much Hijab jee ...
    Mujhy aap k views boht achy lagy
    Mumkin he men aap se agree hi kr lun
    Lekin mujhy aik baat poochni he aap se
    Agar Ibtidaye Muhabbat Dhoka he to Intiha-e-Muhabbat kya hoti he ?
    Agar ibtidaye Muhabbat Dhoka he fir to Intiha-e-Muhabbat bhi dhoka hui na
    Or agar intiha-e-Muhabbat b dhoka he to fir iski koi daleel dijy
    Thank u sooo much for the views
    Slamat rehiye
    1685832isukvduehw - Raigaan si aik Musafat part1

    Tumhari Bewafai doosron pey kiun ujagar ho.
    Mry kuch Khat tumary pas hen un ko jla dena

  3. #12
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Aab Deeda View Post

    ishq-e-majaazi "AIK RASTA" hia haqeeqat ki pehchaan ka.
    yeh talism hai, aik bhanwar. jo bhanwar ko kinara samjh lay woh ta-hayat bhatkta he rehta hai.
    aur jo is bhanwar se khud ko nikal ker kinaray tak pohnchnay ki justajoo karay, woh manzil ki raah per chal parta hai.
    (manzil her aik ka muqadar nahi, magar rasta sab ke liye hai)
    so baat yeh hai ibtida mein lazat ho ya dard, woh hasil nahi hota
    aur na he "ASAL" hota hai.
    woh adrak ka lamha aur agahye ka lamha hota hai.
    ab kuch is aghaye ke lamhay ko he sab jaan ker baith jatay hein, aur kuch agay ki justajoo mein aur agay barh jatay hein.

    to nateeja meri baat ka yeh hai ke.
    ibtida ke bhanwar mein uljh ker, safar "raigaan" nahi kertay.
    rastay khojtay rehtay hein

  4. #13

    Bohat khoobsoorat baat ki aap nen
    Mgr Hijab agar ibtida-e-ishq se hi nikal ayen gy
    to Intiha-e-ishq k baad ishq-e-haqeeqi ka zaria kesy mily ga ?
    Ishq-e-majazi b to ishq-e-haqeeqi ki janib Safar he
    Men manta hun k safar manzil nehin, lekin manzil ki janib rasta to he na
    1685832isukvduehw - Raigaan si aik Musafat part1

    Tumhari Bewafai doosron pey kiun ujagar ho.
    Mry kuch Khat tumary pas hen un ko jla dena

  5. #14
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Aab Deeda View Post
    Bohat khoobsoorat baat ki aap nen
    Mgr Hijab agar ibtida-e-ishq se hi nikal ayen gy
    to Intiha-e-ishq k baad ishq-e-haqeeqi ka zaria kesy mily ga ?
    Ishq-e-majazi b to ishq-e-haqeeqi ki janib Safar he
    Men manta hun k safar manzil nehin, lekin manzil ki janib rasta to he na
    no, i didn't mean ke ibtidaye-ishq se nikalna hai. no wayz
    kyon ke phir to na agay ke rahay na peechay ke
    mein ne yeh kaha hai ke ishq-e-majaz aik "qadam" hai.
    haq ke rastay ki aik "pakdandi" hai.
    agar is pakdandi per he rouk liya jaye khud ko aur is ke karb aur lazat mein mehv ho jayen, to agay ke safar kaisay tay hoga?
    bus yeh ahsas ka rasta hai. majaz sirf ahsah dilanay ke liye hota hai. tarap aur lagan jaganay ke liye.
    phir is se agay aik aur "pakdandi" aati hai us per chalna hota hai.
    aur koi aqalmand insan, sach ki talash mein peechay mur ker nahi dekhtay.
    aur haan, koi bhi hoshmand insan, rastay ko manzil nahi samjhta

    so, i hope ab mera point kuch clear hai ke, "ibtida" se "nikalna" nahi, balkay is se "agla qadam" uthana hai

  6. #15
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    41
    Posts
    1,173
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Hijaab View Post

    no, i didn't mean ke ibtidaye-ishq se nikalna hai. no wayz
    kyon ke phir to na agay ke rahay na peechay ke
    mein ne yeh kaha hai ke ishq-e-majaz aik "qadam" hai.
    haq ke rastay ki aik "pakdandi" hai.
    agar is pakdandi per he rouk liya jaye khud ko aur is ke karb aur lazat mein mehv ho jayen, to agay ke safar kaisay tay hoga?
    bus yeh ahsas ka rasta hai. majaz sirf ahsah dilanay ke liye hota hai. tarap aur lagan jaganay ke liye.
    phir is se agay aik aur "pakdandi" aati hai us per chalna hota hai.
    aur koi aqalmand insan, sach ki talash mein peechay mur ker nahi dekhtay.
    aur haan, koi bhi hoshmand insan, rastay ko manzil nahi samjhta

    so, i hope ab mera point kuch clear hai ke, "ibtida" se "nikalna" nahi, balkay is se "agla qadam" uthana hai
    ji haan its clear now
    or mera kehna b yehi tha
    So ye teh hua k Safar manzil nehin manzil ki janib rasta he ???
    1685832isukvduehw - Raigaan si aik Musafat part1

    Tumhari Bewafai doosron pey kiun ujagar ho.
    Mry kuch Khat tumary pas hen un ko jla dena

  7. #16
    Join Date
    May 2010
    Location
    Karachi
    Age
    29
    Posts
    25,472
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6815 Thread(s)
    Rep Power
    21474876

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    wow Umdah share janab.
    tumblr na75iuW2tl1rkm3u0o1 500 - Raigaan si aik Musafat part1

    Hum kya hain

    Hmari Muhabatayn kya hain
    kya chahtay hain
    kya patay hain..

    -Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)

  8. #17
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    wah ji kya baat hay.../up

    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!

  9. #18
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    41
    Posts
    1,173
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Precious Pearl View Post
    wow Umdah share janab.
    Thank u sooo much
    1685832isukvduehw - Raigaan si aik Musafat part1

    Tumhari Bewafai doosron pey kiun ujagar ho.
    Mry kuch Khat tumary pas hen un ko jla dena

  10. #19
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    Pakistan
    Age
    41
    Posts
    1,173
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Seven Tiles View Post
    wah ji kya baat hay.../up
    Thank u sooo much
    1685832isukvduehw - Raigaan si aik Musafat part1

    Tumhari Bewafai doosron pey kiun ujagar ho.
    Mry kuch Khat tumary pas hen un ko jla dena

  11. #20
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Raigaan si aik Musafat part1

    Quote Originally Posted by Aab Deeda View Post
    ji haan its clear now
    or mera kehna b yehi tha
    So ye teh hua k Safar manzil nehin manzil ki janib rasta he ???
    ji
    magar "ibtida" hai, "pora" aur mukamil safar nahi hai

Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •