Dekhiye Hijab Dunia ka koi b kaam esa nehin he jis men insan ko sila ki umeed nehin hoti, even Hum Khuda ki ibadat bhi ye soch k karty hen k Roz-e-Mehshar hum Allah k azab se buch saken, or Akhir kaar jannat payen, Ishq-e-Haqeeeqi men mubtila hona b indirectly sila ki hi khahish he, ye to rehi Sila ki defination k insan ko sila chahiye hota he ya nehin ...
AB hum baat krty hen Ishq ki, yani Majazi ki, so ishq men bhi insan ko sila ki umeed hoti he, Yani Ishq ki bulandion ko choo leny k baad Ishq ki meraaj ata ho jaye gi, lekin aksar oqat insan ko milta kya he, Adhoory khoaab ? kya fana k baad irtiqa yehi reh gaya he k us shakhs nen jis nen aap k siwa kabhi ankh utha k kisi or ki janib nehin dekha, jo Ishq or ibadat men farak nehin rakhta, jis nen sajdy kiye akhir kaar usy siwa-e-dard or thokron k kuch na mily ? Mera kehna ye he k kya ye ziadti he ya nehin
![:)](images/smilies/yahoo.gif)
Aap yaqeen kijy k is ishq k hathon bohat se logon k shining career khatam ho gaye, lekin wo ishq ko apna iman samajh k sab kuch tiaagty gaye, or akhir men tehi damaan reh gaye, is behas ka matlab muashry k us nasoor ki janib tawajjo dilana he jis se hum nei nasal dochar hen, or koi pursaan-e-haal nehin,
Bry afsos se kehna par rha he k yahan kisi k ghar ki khirki ka sheesha tor deny ka to qanoon mojood he, mgr dil torny, Khoab lootny or jeeny ki wajha cheen leny waly k khilaf koi qanoon nehin
![:)](images/smilies/yahoo.gif)
Mere bolny ka andaz kuch esa he ye mat samjhiye ga k men harsh bol rha tha
![:)](images/smilies/yahoo.gif)
fir bhi agar koi baat buri lagi ho to muafi chahta hun
![:)](images/smilies/yahoo.gif)
Slamat rehiye