Beshak men lafz lafz se agree karta hun ...
Lekin hun to fir gosht post ka insan hi na
baat limited hi krun ga k hum shayed
afaaqi baat kr hi nehin sakty
Baat ye he Hijaab jee
K Akhir esa kiun he k insan fana k baad hi manzil paa jaye ?
Or chalo men pal bhar k liye maan leta hun k fana k baad manzil ata ho jati he
Tasawuf se hat k kehta hun kiun k yahan tasawuf ki baat nehin ho rehi
k is cheez ki kya Guarantee he k insan Muhabbat men fana ho jaye to usy Muhabbat mil jaye gi, agar is ki koi guarantee nehin he to Duniavi ya Ishqia bqa kiun kar keh sakty hen hum is fana ko ?
ye to fir fana ki manzilen hen, meri ankhon k samny esi misaal he jis nen Muhabbat nehin ibadat ki, jis nen Ishq nehin Pooja ki, lekin wo shakhs ishq men Kufar ki hadon ko choo jany k bawajood aaj b akela he. kya ye us shakhs k sath zulam nehin, if yes to is zulam men hum sab barabar k shareek hen jo esi baten likhty hen or sada loh insan zindgian haar jaty hen baqa ki manzil pany k liye ...
Shayed aap ko meri ye baten jazbati lagen lekin believe me Hijab meri in baton ka hmari amli zindgi se bohat gehra taluk he ...
I m sure aap meri baton ko positive way men len gi
![:)](images/smilies/yahoo.gif)
Slamat rehiye
Bohat Umdaa likha he
![:)](images/smilies/yahoo.gif)