Meray khyal k mutabiq dimagh aur dil dunu ki apni jagah ahmyat hay..bazauqat dunu kaam ajatay hain aur baazauqat koi bhi nahi bus ahmyat hay tu is baat ki k ap apna dimagh aur dil mai brabri kaisay rakhtay hain aur is ko istimal kaisay krtay hain..meri adna raey aur zati tajarba aur is baat par kamil yaqeen hay k zindagi k kuch mamlaat aisay hotay hain jahan ap ka dil aur aqal dunu sath chor daitay hain aur phr insaan baybus hu jata hay aur jab yeh stage hoti hay k aisa lagta hay k bus ab sab khtam hu gaya hay wahin ap ka dil aur dimagh aik aisi hasti ko pukarta hay jo bayshak sab par qadir hay..jisko ap yad rakhu ya na rakhu usay ko farq nahi parta laiken wo ap ka sath kabhi nahi chorta aur tab wo aisa wasila nikalta hay k aqal dang rah jati ha ..Umaira ahmad nay bht khoobsoorat likha ha ' zindagi main hum kabhi na kabhi uss muqaam per aajatay hain.. jahan saray rishtay khatam ho jatay hain.. wahan sirf hum hotay hai aur Allah hota hai.. koi maan baap, koi behan bhaii, koi dost nahi hota.. phir humain pata chalta hai k humaray pairon talay koi zameen hai na sar pe koi asmaan.. buss sirf aik Allah hi hai jo is khala mei bhi humain thamay huay hai.. phir pata chalta hai k hum zameen per padi miiti k dhair main aik zarray ya darakkht per lagay aik patay se ziada wuqat nahi rakhtay. phir pata chalta k huamray honay ya na honay se sirf humain farq perta hai.. sirf humara kirdar khatam hojata hai.. kainaat mein koi tabdeeli nahi atti .. kisi cheez par kooi asar nahi parta…………….Phir hamari aqal thikanay aajati hai .. "