mushkil sawal hai appo
Yaha hum jo b Question dete hian...Competition tu wo hota he hia leken aik tarah se hamain pata b chalta hia ke kis ki kiya soch hai...is bar jo main Question dene lagi hon..wo "Dil"ke mutaliq hai...Dil her jazbey ke liye bhot bhot ahmiyat rakhta hai...Aksar Dil na maney tu hum wo kaam he nahi kartey...kuch log Dimag se sochtey hain or kuch log Dil se...Dil ki sun`ne walon ko aksar log pagal b kehte hian...App ke nazdek app ke dil ki kiya ahmiyat hai ? App apney dil ki suntey hian ya Dimag ki ?
tu janab yehe hai hamara Sawal
Rules :
1 ... Aik member aik he bar Share Kar sakta hai.
2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 July hai.
4 ... Winner Admin Team Khud decide karay gi !
mushkil sawal hai appo
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
mere nazdik dil ki bohat ahmeyat hain q k is ko ALLAH ne apna ghar banaya hain is liy dil kabhi ghalat faisla nahi karta
demagh ALLAH ne sochne k liy dia is liy main hamesha demagh se sochti hun lekan koi faisla karne se pehle us pe tasdeeq ki mohar dil se lagati hun jis faisley pe mera dil mutmaeen ho wo kar laiti hun lekan jis pe mera dil bechain ho jaaie wo kaam mei chor daiti hun
aur ALLAH ke fazal se aj tak mere dil ne muje dhoka nahi dia
Last edited by mahamkhan; 30-06-2011 at 11:37 PM.
Dil ki sunti hon.....dimaag se idea zaroor leti hoon..ager wo dil ko lag jaye tu theek...warna jo dil main aye dil kahay wo ker leti hon....or meri dado kehti hoti thien keh...
Sun Yara Tu Bas Dil Di....K Rab Hai Dilan Ich Wasda....
tu bas....dil main rab rehta hai...tu dil jo kehta hai..wohi sahi or acha hota hai...wohi ker letay hain...or Allah k hukam se aj tak kabhi kch b galat nai kerwaya dil main....Allah k karam se khush hain buht dil ki man man ker bhi...Alhumdulillah
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Dil hi to asal markaz hota hy jazbat o ahsasaat ko mahsos krny my. dimagh to mahaz akal ki paharvi krta hy. jazbat sy ari hota hy .har chez ko faidy ya nuksan pr tolta hy.. or dil in chezun ki itni parwah nai krta. magar kuch kaam aisy hoty hen jin k liay dil ki nai suni ja sakti bhaly dil jitna marzi chah rha ho. isi liay to dil py pathar rakh kr dil ki awaz dbani parhti hy kuch faisly krny k liay. or dimag ki hi man ni parhti hy or yeh kabi kabar sahi bi hota hy
meri ami jaan kehti hain k mere pas demaagh jese naam ki koi cheeze nahi hy jis ki tasdeek meri sab friends b kr chuki hain
is baat say sabit yeh kerna chah rhi hun jab demagh nahi tou main dil say he sochti samjhti or kerti hun
per aisa kernay k liye bht zroori hy k insan ka khud ka dil b saaf ho
q k ager hm achay insaan hain tou dil b hmesha acha mashwara day ga werna hmara nafs hmaray dil per zaida hawi rehta hy jisay main demagh kehti hun
q k yeh hmesha materialistic sochta hy or insan ko sirf apna faida daikhnay ka kehta hy
jab k dil hmesha kehta hy dosron ka socho
acha sawal hy
Mere Khiyaal Main Dil Ki Baat Ki Ziyada Ahmiyat hoti Hai...Kiyoon k Dimag ka kIa Hai...Insan Kabhi Bhe Pagal Ho Sakta Hai..>memories Delete Ho Jati Hai...as u know k Dimag Ki 60000 Bemariyan hain......Jin Main memory Lose etc.....sab kuch hota hai...
Magar Dil Main Jo Soch Liya Tu Wohi Such Hai....Wohi ta Qayamat rehnay wala Woh such Jazba hai...jis Ki misaaal Kahin Nai Mill Sakti....
Dil Jayeh ga tu jaan jayeh ge...Magar Dimag jayeh tu Apne Sath banayeh Howay hazaroon Sochoon k Khoobsoorat mehal girata Jayeh Ga....
So Main Dil Ki Baat ko preffer Karta Hon
Is sawaal ka seedha sada jawaab hai ke jahan dil ka faisla sahi lagey wahan agreen karna chahiye aur kuch faisley Aise hotey Hain Jin ko Dimaag se karna hi humarey Liye humarey haq mein buhut acha hota hai...Magar behtar yeh hai ke namaaz aur Quraan ka sahara liYa jaye tu dil aur dimaag ko faisla karne mein asaani hogi..Ke Rab Paak hi rasta dikhatey HAin..
Dil tu nadaan hota hai uskey faisla aksar sahi sabit nahiin hote dil kuch jazbe jahan paidaar hotey hain tu whaiin kuch waqti ubhaar bhi hotein hain Is liye Danishwar log keh gaye hain Dil Ki suno Par aik had tak..
Dimaag se faisla karne waley jahan zaheen kehlaatey hain wahiin behis aur machine bhi kehlatey hain.. Dimaag se kiye hue faisley takleef tu buhut dete hain par shayad behtri usi mein hoti hai..
Kehte hain Jab Allah saath ho tu Dil o Dimaag khud agree ho ker us kaam ke sahi hone ka ishara dete hain.. Allah se behtar koi bande ko janta hai aur na hi sahi faisla kar sakta hai.. Tu Jab Allah ki merzi chalti hai tu Dil Aur dimaag kya haisyat rakhtey hian woh tu us rab ke isharey ke muntazir hotey hain IS liye humesha Allah se lou lagani chahiye phir dekhiye ga Dil o Dimaagh khud hi aik faisley per pohanch jaye ge na koi jang hogi aur na koi Dabao..
Yeh Bas Allah Ka ehsaan hai aur kuch nahiin.. Allah jisey Apne Sayaa e Rehmat ataa karey...
Alhamdullilah
=>> shaiad isay ishq b na samj sakay
jis karb mein aqal mubtla hai !!!!
hasab-e-mamool kisi ko ye shair smaj mein nahi aya hoga
ab main dil aur damagh dono ki sunta hoon jab baat zimadari ki ati hai tu damagh ki sunta hoon , Dil tho vese bi pagaal hai..mohm jesa hai..jo bi faisle karta hai bina tole bina soche karta hai..jazbaati jo hai. dil meiN aksar shaitaani bi ajaati hai..hamesha dimagh ki suno..faide meiN raho gae ~* Nadaan heiN jo dil ki sunte heiN. *~
lakin jab masti kerni ho tu dil ki sunta hoon
wesay bohat kam fight hoti hai mery dil o damagh mein