Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain ...
Ab bhi wazey nahin hui tasveer zindagi ki
Der-e-perda ab bhi kuch naqaab baaqi hain ...
Her sawal apni jaga joon ka toon raha
Zabaan pay shikayaton kay kuch jawab baaqi hain ...
Khali hua behtey behtey yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain ...
Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To ussi dosti say kuch hisaab baaqi hain ...
Kisi ka aasmaan tareekhiyon ka ujala ban gaya
kahin bay-rukhi kay kuch mehtaab baaqi hain ...
Mer bhi nahi saktey ab to sukoon-e-zalim
Hasratain reh jaain gee kuch hijaab baaqi hain ...
Musalsal jal rahay aatish-e-ishq kay angaroon main
Parastish kay or bhi kuch aadaab baaqi hain ...
Kaghaz kay nazaron say mehek aaye gee kaisay
Haqeeqat kay guldanoo main kuch gulaab baaqi hain ...
Sab ko samajh na shaiki tu yaar bay wafa
Teri raha lutey yahan kuch nawab baaqi hain ...