poem # 28
"Koi Zanjeer Ho"
Koi Zanjeer Ho,
Ahan Ki, Chandi Ki, Rawayat Ki,
……………. Muhabbat Torr Sakti Hy !
Ye Aisi Dhal Hy Jis Pr
…. Zamanay Ki Kisi Talwaar Ka Loha Nahi Chalta !
Ye Aisa Shaher Hy Jis Mein
… Kisi Aamir , Kisi Sultaan Ka Sikka Nahi Chaltaa !
Agr chashm-Tamasha Mein Zara Si Bhi Milawat Ho !
……………………⠦ Ye Aina Nahi Chaltaa
Ye Aisi Aag Hy Jis Mein
…..... Badan Sholoo’n Mein Jalty Hain Tou Rooh'ain Muskurati Hain
Ye Wo Seelaaab Hy Jis Ko
….... Diloo’n Ki Bastiyaan Awaz Dy Kr Khud Bulati Hain
Ye Jub Chahy Kisi Bi Khwab Ki Tabeer Mil Jaey
Jo Manzar Bujh Chukay Hon Unko Bhi tanweer Mil Jaey
Dua, Jo Be-thikanaa Thi, Usay Taseeer Mil Jaey...!!
Kisi Rasty Mein Rasta Pochti Taqdeer Mil Jaey...!
…. Muhabbat Rok Skti Hy Samay K Teez Dharay Ko !
… kisi Jalty Sharay Ko , Fana K Ista-aaray Ko !
… Muhabbat Rok Sakti Hy, Kisi Girty Sitaray Ko !
Ye Chaknaa Choor Aainay K Raizay Jod Sakti Hay
Jidhar Chahy Ye Bhagain Musamoo’n Ki Morr sakti Hay..!!
Koi Zanjeer Ho, Usay Muhabbat Torr sakti Hy …!!!!