poem # 42
Shayad tu chahti thi yeh tha bharam mujhay
Per bharosa nahi raha koi oos me mujhay
Jo ham ne MOHABBAT ke waday mil kar kiyae the
ke zindagi ka sath rahega her safar me
Shayad tairi chahat v piyar ka tha bharam mujay
Eis bharosay ne lagayae hai kai zakham mujhay
Hans ke to kehtay ho tapaak se milaingay ham
Dil ko bhi kartay hain milnay ke havalay mujhay
Intezar me ham ne bitayae hain kitnay Baras
Tar’si aankho se kahatay ho kay aansoo Baras
Khabar thi is baat ki baher hal mujhay
Phir bhi chahta raha hun her hal tujhay
Jab dekha hy tera eis trah ka chalan
Teray is tor se Hui hy bahot chuband
Bhul kahan Hui zara to bata tee mujhay
Gar dochar ghadi Milan ki di hoti mujhay
Kitnay vadon se diye the dilasay mujhay
In jhutay vadon per tha kitna yaqin mujhay
Sochta rehta hun batain, chehra udas hy
Jawaab milta nahi koi, Na koi aas hy
Bus eik matlab ki thi MOHABBAT tujhay
Eis ka huva hy, mushaheda mujhay
Mairay yaqeen KO hy toda tu nay
Apnay hi hathon dil KO toda tunay
Kitnay waday kiyae the wafa ke
ham nay tum ne ke sath sath rahaingay
per sb khatm fasana ho gaya