Page 7 of 10 FirstFirst ... 56789 ... LastLast
Results 61 to 70 of 96

Thread: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

  1. #61
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 43
    nahi chyiye mujhko teri mohabbat
    jab nahi tujhko meri koi zarorat

    nahi chyiye tera wo ab satana
    nahi chyiye mujhe tera aazmana
    ayese pyaar se ab mujhko ho gayi hai nafrat
    jab nahi tujhko meri koi zarorat

    kerty thy sajde ham tere pyaar ke
    bherty thy teri her aarzo ka bhram
    rahti thi tujh ko fir bhi shikyat
    samjhi kabhi na tune meri mohbbat

    socha tha kaya ham ne aur ye kaya hogaya
    eak zara si baat pe tu bewafa hogaya
    nahi chyiye ayesi chhat karti hai jo ham se aadawat

    khoda mujhko mera gonah tu bata de
    bin baat ke mujhe kiu ye saza de
    jispe marta tha dil mera ye wahi tu hai
    jiske diwane thy ham ye wahi tu hai
    kera raha kiu aaj ye ham se bagawat
    bhool gaya kiu ye hamari enayat

    ana na dobara leke apni aarzo ko
    manana na ab tu mere tote dil ko
    bhut sah liye ham ne tera sitam hai
    per tujh main na koi ayi shram hai
    jaa dekh li ham ne teri ulfat

    nahi chyiye mujhko teri mohbbat
    jab nahi tujhko meri koi zarorat

  2. #62
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 44
    Ehsas-e-Shikast
    Ye haseen rut, ye haseen chand sitare qurban
    Baadai husn ke sarshar eshare qurban
    Jaadai nau pe qadam rakhna sambhal kar aye dost
    Tujh pe gulzar mohabbat ke nazare qurban
    Jaadai husn wa mohabaat se bhatak mat jana
    Yaad Aajaon agar maien to sisak mat jana
    Bholna aur bhulana to naee baat nahin
    Raw mein jazbat ke ae dost bahak mat jana
    Ye haseen phool, chaman aur baharon ka saman
    Teri Duniya to hai ab chand sitaro ka jahan
    Tu salamat rahe duniya teri aabad rahe
    Teri Mehfil mein bata mera guzar ab hai kahan
    Pass aana bhi tere chahoon to aaon kaise
    Aaa gaee samne deewar giraun kaise
    Ab to main tere Guman mein bhi na ayon shayad
    Tu hi kah de mujhe ab tujh ko Bhulaun kaise
    Daaman husn ki makhmur hawaien le le
    Dhosh per zulf pareshan ki ghataien le le
    Husn ke jalwae rangein me sama jaie aye dost
    Apne Sar Aaaj Mohabbat ki ghataien le le
    Teri Bechain Muhabbat ko sakoon mil jae
    Teri Duniya -e-musarrat per Nikhaar ajae
    Zulf ki chaon me aram se so jai aye dost
    Hai dua meri tere dil ko qarar aajaei

  3. #63
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 45
    Abhi kuch waqt lagna hai


    Mujhe aye Jaan e jaa'n


    Mohabbat ke sabhi namehrbaa'n


    raston se wapas lott janay mei


    Abhi kuch waqt lagna hai


    Abhi to be yaqeeni


    jabaja qadmo'n se mere lipti jati hai


    abhi to ye gumaa'n baaqi hai k


    Woh mehrba'n...Woh Chaara ger

    jis ke wafa aamez lehjay mai maseehai ki taqat thee


    k jis k chahton mai doobey sab waadon se ye dunya,nihayat khubsurat thee


    abhi bhi mehrbaa'n hay wo..


    abhi b uski ankho mai meri chahat k jugnu jagmagatey hain


    magar asaa yaqeenun ab nahi hay....


    so ab ye khanjar e be daad


    apnay hath se hi khud,jigar ke paar karna hai


    abhi kuch waqt lagna hai


    abhi apnay sabhi jazbo'n..junoo'n mai toot'ti chahat


    wasal ke sab iraadon ko....or oun khwabon ko


    jo teri marmaree'n aaghosh mai aanay ki hasrat mai


    azal se meri ankho mai sajay thay...timtimatey thay


    abhi oun serbareeda chahton ko...Naa rasaai ka kafan de ker sulaana hai


    abhi kuch waqt lagna hai...


    Abhi to be amaa'n hoon...


    na hi ser per aasmaa'n hay


    na hi qadmo'n mai zameen baaqi


    Mujhe ab khud bhi ujlat hai


    palak jhapkoo'n ...to jese ye azeeyat


    jo meri saanso'n ko pal pal


    roundey jaati hai....zara se maan'd hojaaye


    azeeyat saans ki zanjeer ko...yoon kass rahi hai k

    ghuttan ne zindagi mehsoor kardi hai


    mujhe to khud bhi jaldi hay


    ke tanhai ke rastey per mai phir se lout jaaun


    or mohabbat ko kbhi na phir nazar aaun


    magar apnay sabhi tootey hue bikhrey huey


    tukron ko phir se jor ker...


    teri hadd se nikalnay mai

  4. #64
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 46
    Fizaaon Mein Khushki Chayi Huyi Thi,
    Mohabbat Josh Mein Aayi Huyi Thi..
    Nazar Paigham-e-Ishrat De Rahi Thi,
    Tamanna Karwaten Le Rahi Thi......


    Sukoot-e-shab Tasleem Rango Buu Tha,
    Tarannum Hi Tarannum Char Suu Tha.
    Badi Dilkash Sadaayen Aa Rahi Thi,
    Musalsal Rooh Ko Tarpaa Rahii Thi....


    Wo Ek Shaoq Faraawa Dono Janeeb,
    Wo Ek Ahsaas Pinhaa Dono Janeeb.
    Idhar Ek Khud Faramoshi Ka Aalam,
    Udhar Honton Pe Khamoshi Ka Aalam


    Idhar Ek Raob Sa Chhaya Huaa Tha,
    Udhar Chahere Pe Rang Aaya Huaa Tha
    Rukh-e-pur- Noor Ki Jagmagahat
    Labon Pe Halki-Halki Muskurahat.......


    Tabassum, Aur Qayamat Ka Tabassum,
    Wo Ek Masoomana Andaaz-e-Takallum.
    Wo Samaan-e-Sukoon Zindagani,
    Wo Izhaar-e-Kaamil Meherbani.........


    Musallat Mujhpe Madhoshi Thi Lekin.
    Labon Pe Muhar Khamoshi Thi Lekin,
    Khuda Jaane Main Kya Kya Kah Raha Tha,
    Koi Lafzon Ka Dariya Bah Rahaa Tha..


    Falak Pe Chand Taare Sun Rahe Thay,
    Sukoot-e-Shab Ke Maare Suun Rahe Thay,
    Niyaaz-o-Naaz Ka Dil Suun Raha Tha,
    Chiragh-e-Subah-e-Mahefil Suun Raha Tha.


    Azaano Ki Sadaayen Aa Rahi Thi,
    Duaayen Dil Se Maangi Ja Rahi Thi...
    Ibaadat Mein Khalal Na Aaye Ya Rab,
    Qayamat Tak Baaki Rahe Yahi Shab...



    Magar Ye Iltejaaye Kaon Suntaa,
    Gareebon Ki Duaayen Kaon Suntaa.
    Namood Meher Aalam Taab Taoba,
    Hua Manzar Ka Manzar Ek Khwab Taoba



    Wohi Daastan-e-Shab Yaad Aa Rahi Hai
    Jo Baaki Thi Wo Ab Yaad Aa Rahi Hai.....

  5. #65
    Join Date
    May 2010
    Location
    Karachi
    Age
    29
    Posts
    25,472
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6815 Thread(s)
    Rep Power
    21474876

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    good janab
    maine abhi adhi parhi hain ..
    baki bad main parhoon geee.
    tumblr na75iuW2tl1rkm3u0o1 500 - !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    Hum kya hain

    Hmari Muhabatayn kya hain
    kya chahtay hain
    kya patay hain..

    -Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)


  6. #66
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    buhut achi collection hai specially number 3...
    Alhamdullilah

  7. #67
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 47
    Mujhey tumney nahiN dekha,Mujhey tumney nahiN socha
    na aankheiN hi paRhii meri,na lehja hii sunaa meraa
    in aankhoN ney tou sadiyoN sey tumaahri raah dekhi hey
    ujaaloN meiN, khayaaloN meiN tumhaari Chaah dekhi hey
    haqeeqat kii tarah ik khaab meiN jab tumko paaya tha
    tou pehlii baar Dil meiN aarzoo ney ghar banaaya tha
    KhizaaN ki zard waadi ko bhara tha maiN ney Sandal sey

    koii tasweer palkoN par meri khainchii thi kaajal ney
    tumhaara haath thaamey aik soti jaagtii laRki
    tamanna k jazeerey par hawaa meiN naachti laRki
    tumhaarey saath jo rehti thi jheeloN meiN shikaaroN meiN
    wuh yeh mehsoos karti thi sitaarey merey bas mein haiN
    wisaal-o-hijr k sab marhalay ab dastras meiN heiN
    dehaktey lams k lamhey ragoN meiN sarsaraatey they

    laboN k Phool chehrey kii fazaa meiN Thehar jaate ytehy
    badan ik kaaNptey pattey ki Surat dagmagaata thaa
    Gulaabi rung, Titlii k paroN sey choohT jaata thaa
    hawaa meiN an-kahey lafzoN k taarey raqs kartey they
    magar jab ye khayaal aaya k ye sab khawaab heiN merey
    faqat sapney heiN aankhoN k…..
    meiN ik tanhaa musaafir huuN muhabbat ki kahaani meiN

    mujhey tumney nahiN dekhaa, mujhey tumney nahiN sochaa
    naa aankheiN hi paRheeN meri, na lehja hi sunaa mera
    kabhi tumney mery doobey huwey dil ko saNbhaala hey
    tumhaarey haath meiN sachhi muhabbat kaa payaala hey?
    chalo yuNhi sahii, tum sey meri aankheiN nahiN boleeN
    chalo yuNhi sahi,kuch uljhneiN Dil ki nahiN kholeeN
    chalo yuNhi sahi merey dehaktey haath meiN barfaab mousam heiN

    baRey talkhaab mousam heiN
    chalo yuNhi sahi, mera saraapa hi nahiN sundar
    kabhi merey laboN sey Phool bhi jhaRtey nahiN heiN
    merii in jheel aankhoN meiN bhanwar paRtey nahiN heiN
    chalo yuNhi sahii…… yuuN hi sahii
    tum khoobsurat ho……… faqt tum khoobsoorat ho…!!

  8. #68
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 48
    Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
    Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
    Ulfat Chahat Ke Rango Se
    Dil Ki Khali Tasveero Me
    Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
    Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
    Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
    Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
    Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
    Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
    Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
    Mujh Ko Baatein Gar Aati To
    Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
    Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
    Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
    Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
    Mera Kul Sarmaya Tha Jo
    Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
    Mujh Ko Baatein Gar Aati To
    Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
    Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
    Saare Raaste Bhool Aayi Ho
    Saare Rishte Bhool Aayi Ho
    Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
    Mujh Ko Baatein Gar Aati To
    Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
    Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
    Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

  9. #69
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 49
    Ye Mumkin Hai Hamarey Dermiyan Koi
    Ghalat Fehmi Bhi Nahee Rehti
    Jo Apny Dil Mein Chooti Si Khalish Hai
    Khatam Ho Jati
    Bata Deti Ky Mujh Ko Aaj Bhi
    Uss Ki Zarorat Hai
    Jo Is Jeewan Ka Hasil Hai
    Toh Bas Uski Muhabbat Hai
    Bata Deti Ky Logo Ki
    Sab He Baatain Fasaney Hain
    Sab He Qissey Purany Hain
    Main Keh Deti Zara Si Baat Per
    Yun Roothna Acha Nahee Hota
    Muhabbat Kerny Walon Mein
    Ghalat Fehmi Toh Hoti Hai
    Magar Jhagra Nahee Hota
    Main Her Aik Baat Keh Deti
    Khalish Bhi Door Ho Jati
    Main Uska Hath Pakrey Yun He
    Uski Hum Qadam Rehti
    Woh Aagey Hath Toh Kerta
    Woh Mujh Sy Baat Toh Kerta

  10. #70
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 50
    Hawa Ko Likhna Jo Aa gaya hai
    Ab uski marzi ke wo hizan ko bahar likh de
    Bahar ko intazar likh de
    Sufer ki khuwahish ko
    Wehmoon ke Azab se Humkinar ker de
    Wafa ke rastoon pe chalne waloon ki kismatoon main
    Ghubar Likh de
    Hawa Ko Likhna Jo Aa gaya hai
    Hawa ki marzi
    Ke Wisel mousam main hijer ko hissa dar likh de
    Muhabbtoon main ghuzrnay wali ratoon ko
    Na Paidaar Likh de
    Hawa Ko likhna jo Aa gaya hai
    ab uski marzi
    Ke hamaray diye bhuja ker
    Shaboon ko baikhtiyar likh de
    Hawa ko likhna sikhanay waloo!!!
    “Hawa ko likhna jo Aa gaya hai”

Page 7 of 10 FirstFirst ... 56789 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •