Very nice collection
superb collection
Ú©Ûاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
Ûزاروں گھر Ûوئے روشن جو میرا دل جلا Ù…Ø+سنؔ
Very nice collection
keepp sharing/up
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
poem # 66
Muhabbat ki tabeait main yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai
k jitni bhi purani , jitni bhi mazboot hu jaye
isay taaid-e-taza ki zarorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki aakhri had tak dilon main lehlahati hu
nigahon se tapakti ho , lahoo main jagmagati hu
hazaaron tarhan k dil kash halay banati hu
isay izhar k lafzon ki haajat phir bhi rehti hai
Muhabbat maangti hai yoon gawahi apne hune ki
k jaise tifl-e-saada shaam ko beech boye
or shab main baar ha uthay
zameen ko khoud kar daikhay k
poda ab tak kahan tak hai
Muhabbat ki tabait main ajab takraar ki khoo hai
k yeh iqrar k lafzon ko sun ne se nahi nahi thakti
bicharne ki ghari hu ya milne ki koi sa'at hu
isay bas aik hi dhun hai
kahu "Mujh se Muhabbat hai "
Kaho " Mujh se Muhabbat hai "
Kahu " Mujh se Muhabbat hai "
poem # 67
MOHABBAT OR NARASSAI KA EK GHEHRA SA RISHTA HAI/
MOHABAT BHE NARASSAI KEE TERHA PAAIDAR HOTEE HAI/
CHAHAY WAQT KITTNA BHEE GUZER JAAI/
MEHSOOSAT KEE NAAO BHEE TEHER JAAI/
SER ZAMEEN E DIL PER HER GUMAAN E AHAT GUZER JAAI/
YE SITAAROON BHARAY ASMAN KE TERHA SANWER KER REHTI HAI/
ARZAAN NAHI HOTE,KAM NAHI HOTE/
NIKHER KER REHTI HAI/
MOHABT KE TABIAT MAI GER TEHRAAO AA JAI TU/
NARASSAI BHEE TEHER JATI HAI/
NARASSAI GER TEHER JAAI TU,MOUSAM E DERD GER TEHER JAAI TU/
ZINDAGI SEHEL NAHI REHHTI/
DAMAN E DIL MAI KALI KHILI NAHI REHTI/
SAANS KEE DOOR BANDHI NAHI REHTI/
GER YE BANDH BHEE JAAI TU,MOUSAM E GUL ROOTH JATA HAI/
BAS EK LAMHA MUTTHI MAI TEHER JAATA HAI/
WO LAMHA WO PAL NARAASSAI KA ROOP DHAAR JAATA HAI/
MOHBAT OR NARASSAI KO EK RISHTAI MAI BANDH JAATA HAI/
MOHABAT OR NARASAI KA EK GEHRA SA RISHTA HAI/
poem # 68!i!i! MUHABBAT !i!i!
Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say "MUHABAAT" Hai,
Tum Ye Mat Samaj Lena,
Kay.............!!!!!!!!!
Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna,
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,
Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,
Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager,
Iss Jhoot MainBhi Ek Sach Bhi Hai,
Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,
Mujhey Tum Say "MUHABBAT"Hai