poem # 43
nahi chyiye mujhko teri mohabbat
jab nahi tujhko meri koi zarorat

nahi chyiye tera wo ab satana
nahi chyiye mujhe tera aazmana
ayese pyaar se ab mujhko ho gayi hai nafrat
jab nahi tujhko meri koi zarorat

kerty thy sajde ham tere pyaar ke
bherty thy teri her aarzo ka bhram
rahti thi tujh ko fir bhi shikyat
samjhi kabhi na tune meri mohbbat

socha tha kaya ham ne aur ye kaya hogaya
eak zara si baat pe tu bewafa hogaya
nahi chyiye ayesi chhat karti hai jo ham se aadawat

khoda mujhko mera gonah tu bata de
bin baat ke mujhe kiu ye saza de
jispe marta tha dil mera ye wahi tu hai
jiske diwane thy ham ye wahi tu hai
kera raha kiu aaj ye ham se bagawat
bhool gaya kiu ye hamari enayat

ana na dobara leke apni aarzo ko
manana na ab tu mere tote dil ko
bhut sah liye ham ne tera sitam hai
per tujh main na koi ayi shram hai
jaa dekh li ham ne teri ulfat

nahi chyiye mujhko teri mohbbat
jab nahi tujhko meri koi zarorat