Buhat khub
Dear Members...!!!
Umeed Hai App Sub Theek Thaak Hoon Gay... ap sub kay liye kuch poems lay kar aaya hoon jo main nay apni life aur diary say collect ki so hope you all like ...commentss lazmi dijiye ga agar ap ko passand aaye ya na aaye...is main mein <MUHABBAT> key topic par posting karo ga thanks.....
poem # 1
mujhy joo poochty ho tum
mujhy kitni muhabbat hy
chalo hum maap karthe hain
hisab apni muhabbat ka,
Khud apnay aap karthe hain
chalo sooraj ko dykhoo tum
batao kitni kirnain hain
batao kitna rooshan hy
batao kitni hiddat hy
chaloo ab chand ko dykhain
K iska husan kiuon itna
Har ik dill ko lubhatha hay
Firaq aazurda aashiq ko
Ye aakhir kiuon rulata hay
Sitaray bhi falak par hain
magar is ki koi ginti
kabhi kiya kar bhi paao gay
Muqaddar kay sitaray ko
Kaheen say dhoond lawogay?
chaloo sahil pay chalty hain
samundar ki jahan bhipree hoyee lehrain
Hamaisha muskarathee hain
kinaron say galay lag kar,
Ye pir kion rooth jathee hain ?
Abhi barish ko lyty hain
k jis ke naramgein boondain
Bharay sawan main kithnay pyar say hum ko bigothe hain
magar jab josh main aayein tho dunya ko dabhothee hain
Baras jati hain sehrawon pay jo muddat say pyasy hain
kaheen pa rehm karthee hain, kaheen pe zulm dhati hain
chaloo ab phool ki baari
K jis ka ishq main bhanwray nay kati zindagi saari
Mgar pir bhee wo tanha hay
mehk par phool kay shaida he akhir kiuon jahan itna
Bata sakthay ho tum mujh ko k aakhir raz kia ye hay
gulon k rang kitny hain, ya khushboo ka maza kia hay
agar in sab ko lay aao, tou shayad main bata paaoon
muhabbat tum sy kitni hy,muhabbat mujh ko kitni hay
poem # 2
mohabbat ki tabiyat mein
ye kaisa bachapana qudarat ne rakha hai
ke jitani puani jitni bhi mazabut ho jaye
ise taeed-e-taza ki zarurat phir bhi rahati hai
yaqeen ki akhiri had tak dilon mein lahlahati ho
nigaahon se tapakati ho lahuu mein jagmagati ho
hazaaron tarah se dilkash haseen hale banati ho
use izhar ke lafzon ki hajat phir bhi rahati hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
ke jaise tifl-e-sada shaam ko ik beej boye
aur shab mein baura uthe
zamen ko khod kar dekhe
ke pauda ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat mein ajab takarar ki khu hai
ke ye iqrar ke lafzon ko sunane se nahin thakati
bichhadane ki ghari ho yaa koi milane ki sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
kuchh aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon mein
ke jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhati hai
ke jaise phool mein khsuhbu ke jaise haath mein tara
ke jaise shaam kaa tara
mohabbat karane valon ki sahar raaton mein rahati hai
gumanaam ke shaaKhchon mein ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal mein bhi hijr ke Khadshon mein rahati hai
mohabbat ke musafir zindagi jab kat chukate hain
thakan ki kirachiyan chunate vafa ki ajaraken pahane
samay ki rah guzar ki aaKhiri sarhad pe rukate hain
to koi doobatio sanson ki Dori thaam ker
dheere se kehtaa hai
ke ye sach hai na
hamari zindagi ik dusre ke naam likhi thi
dhundhalaka saa jo ankhon ke qareeb-o-duur phaila hai
isi kaa naam chaahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ki tabiyat mein
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai ..!!!
poem # 3
Mohabat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai
Kisay aankhon main rakhna hai
Kisay dil main basana hai
Reha karma hai kisko aur
Kisay zanjeer karma hai
Mitana hai kisay dil say
Kisay tehreer karma hai
Issay malom hota hai
Safar dushwar kitna hai
Kisi ki chasm-e-girya main
Chupa iqrar kitna hai
Shajar jo girnay wala hai
Wo saya daar kitna hai
Mohabbat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai..!
buhut zaberdast collection hai keep it up !!!
Alhamdullilah
poem # 4Khin aisa na ho
Jana!
K ,
Mera aqs chupky sy ,
Tere Ankhon sy Mit Jay,
Tere janib
Pltny ka,
hr ek rsta khin bnd na ho jay, Mere yadun ka hr ek pnchi, Tumhary hath sy nikly
Flak abad ho jay,
ya
phir brbad ho jay,
Mera DIL ab k
Seny mn,
Darhkny sy mukr jay,
Ana ki sbz tehni ko ,
Khud hi tour dete hun,
Tumhary wasty JANA!
Zid apni chour dete hun,
Lo Kehta hun mere JANA!
"MUJY TUM SY
MUHBT HY"
Sonu'JANA!
Mn ye aitraf krta hun k mere rag rag mainn khoun bn k tu behta hy mere ankhoun mn ek hasen khwab bn k tu rehta hy,
K mery jism ka hr ek hisa,
or
hr ek darhkn
or
sbhi sansain
Yehi kehti hn
K!
Mjy "TUM SY
MOHABAT HAI"
poem # 5Abhi Thehro
Abhi Thehro Abhi Kuch Din Lagen Ge
Wasal Ko Khwahish Bananey Main
Tumhain Apna Samajhney K Liye Dil Ko Mananey Main
Abhi Kuch Din Lagen Ge
Abhi Hum Apni Apni Khushbuon Ko Dil Se Milne Den
Unhain Mehsoos Karney Den
Wafa Kya Aur Taqazaay-E-Emohabbat Ki Hadden Kya Hain
Haddon Ki Sarhaden Kya Hain?
Phir Un K Paar Jaaney Ka Sabab Kya Hai?
Dhyaan-O-Be Dhayaani Main
Tumhaari Bheegti Baaton Ki Nadya Ki Rawani Main
Kahani Hi Kahani Main
Agar Bae-Jadah-O- Manzil
Koi Khwahish Dilon Ki Kokh Se Paeda Hui To Kaun Dekhey Ga
Hamarey Naam Ki Sachai Ko
Aur Khwahishon K Liye Nasab Mehtaab Cheezon Ko
Abhi Thehro
Abhi Kuch Din Lagen Ge
Rishta-E-Be Naam Ko Hum Naam Karne Main
Kahani Ko Kisi Aaghaz Se Anjam Karne Main
Kahin Izhaar Karne Main
Hamen Iqraar Karne Main
Abhi Thehro
Abhi Kuch Din Lagen Ge
very nice sharing
keep it up