very very nice collection good
keep sharing bro......
Wah Abbas Miyan Lajawaab.
Lagata Shayari ka Zaberdast
Khazana apni zahen ki kisi kone
mai Ikattha ker rakha hai. Shukriya.
very very nice collection good
keep sharing bro......
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
poem # 6
Hoon Bohat Khoob !!.....Gum Apni Mohabbat Main Dono,
Nayab Ho Tum Nayab Hain Hum
Kya Hum Ko Khuli Aankhein Dekhein ,
Ek Khawab Ho Tum Ek Khawab Hain Hum
Kya Mehsher Khaiz Judai Hai ,
Kya Visl Qayamat Ka Ho Ga
Jazbat Ka Ek Sailab Ho Tum
Jazbat Ka Ek Sailab Hain Hum
Ek Huns Purani Yadoon Ka
Betha Hua Kanker Chunta Hai
Tapti Hui Hijr Ki Ghairyoon Main
Sookha Hua Ek Talab Hain Hum
Ek Waqat-E-Talatum Khaiz Hain Hum ,
Gerdish Main Tumhay Bhi Lay Lein Gay
Is Waqat Na Tair Aay Kishti-E-Dil
Is Waqat To Khud Girdaab Hain Hum
Aay Chasham-E-Falak Aay Chasham-E-Zameen !
Hum Loog to Phir Aanay Kay Nahin
Do Chaar Gharee Ka Sapna Hain ,
Do Chaar Gharee Ka Khawab Hain Hum
poem # 7MOHABAT MOORTI HAI
AUR JO KABHI DIL K MANDIR MAIN KAHEEN PAR TOOT JAYE TOO
MOHABAT KAANCH KI GURYA
FEEZAOON MAIN KISI K HATH SY GIR KAR,JAYE TOO
MOHABAT AABLA HAI KARAB KA
AUR PHOOT JAYE TOO
MOHABAT ROOG HOTI HAI
MOHABAT SHAM HOTI HAI
MOHABAT RAAT HOTI HAI
MOHABAT JHILMILATI AANKH MAIN BARSAAT HOTI HAI
Kia collection hy apki Abbas.amazing.
poem # 8yehi gar zid tumhaari hey
Chalo hum bhool jaatey hain!
Sabhi waadey, sabhi qasmain
Mohabbat ki sabhi rasmain
Nahi, manzoor jo tum ko
Karain ranjoor jo tum ko
Tumhaari shaad-maani hi, azeez-az-jaan hey jab to
Tumhain phir tokna kesa?
Zyaan, sood ki baabat, bhala phir sochna kaesa
Chalo hum bhool jaatey hain..!
Mohabbat ki riyazat main
Wafaaon ki musaafat main
Qadam kis ke kahaan behkey, hui kis sey kahaan larzish
Basaa di jis ney ik pal main, humaari aankhon main baarish
Ke jis ki tez boondon ney
Kisi tezaab ki soorat
Nishaan-e-manzil-e-dil hi, jala dala mita dala
Magar jaanan
Kahaan aasan hota hey?
Jigar ka khoon ashkon mein, badalna aur bahaa dena
Khas-o-khashaak chun chun kar
Gharonda ik banana aur…ussi ko phir jala dena
Jawaan sapnon ki laashon ko
Daroon-e-jaan chuhpaa kar…muskura dena
Khizaa'ein paalna khud mein, bahaar'ein baant'tey phirna
Kahaan aasaan hota hey..?
Buhat mumkin hey hum bhi haar hi jaaein
Jawaan hey zabt jo ab tak
Muqaabil ghum ke aaey..aur Dhaey jaaey
Aur iss mein bhii taa’ajub kiyaa?
Tumhaarey lout aaney ki..bachi ho aas jo koi
Nawaaey be-zubaan ban kar
Sisak kar phir sey utthey aur..tum tak bhi puhanch jaaey
So tum sey ye guzaarish hey
Tab ik ehsaan tum karna
Palat kar dekhna yuun sard nazron sey
Ke jo bhii aas zinda ho..
Ussey yak-sar mita dena
Humein pathar bana dena !!!!
poem # 9Suna Hay Jana ......
December Aanay Wala Hay
Tum Us Say Kehna..
Ab Keh Udaas Nahi Hona
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain
Ab Tu Hamari Saansay ...
Ak Dosray Ki Saanso Say Chalti Hain
Hamaray Dil Tu Ab Jaana
Ak Doojay Kay Seenay Main Dharaktay Hain
Usay Kehna -----------------
Main Nay Apnay Sab Sapnay
Teri Aankhon Main Bou Diye Hain
Ab Hamari Neenday
Hamaray Rat-Jagay Bhi Sanjhay Hain
Ham Ak Saath Ab
Ak Jesay Khowabo Main Utartay Hain
Usay Kehna --------------------
Ager-chy ...
Chaar-so Nazro Kay Hazaro Pehray Hain
Lakin ...
Ham Ak Doojay Main Magan Esay Keh
Ham Ab Zamanay Say Nahi Dartay Hain Jaana
Usay Kehna --------------------
Ham Mohabbat Kay Samandar
Main Ab Ak Saath Utar-tay Hain
Mohabbat Kay Geet Gaatay Hain
Wafa Kay Phool Chumtay Hain
Ham Akelay Bhi Hon Tu
Kabhi Tanha Nahi Hotay
Ab Tu Hijar Main Bhi
Wisaal Ka Sama Rehta Hay
Jaana Ab Kay
Tum DECEMBER Say Kehna
Ab Kay Udaas Nahi Hona..
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain ------!!!!!!
bht ala... me chOri karne wali sab pOems
like karlo
kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
jismEin mEre tU hOta nahi.