Page 5 of 10 FirstFirst ... 34567 ... LastLast
Results 41 to 50 of 96

Thread: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

  1. #41
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 24
    Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
    main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.
    Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
    main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..
    Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
    main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.
    Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
    main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.
    Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
    main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.
    Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
    main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.
    Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
    main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila ha

  2. #42
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 25
    ~~ wAtAn Ki MoHaBbAt~~


    Kabhi kamsini meiN
    Watan ki muhabbat sey sarshaar ho kar
    yeh dawaa kiya tha
    keh zinda raha to
    maiN khak-e-watan ka her ik zarra chamka ky roshan karooN ga
    main maang-e-watan mein ujaley bharooN ga
    kabhi zindgi meiN yeh dawaa kiya tha
    keh jab bhi watan ko zaroorat parhey gi
    main apney lahoo key charaghooN sey andhey aandherooN ko ghaail karooN ga
    main apni wafa key gulabooN ko is tour mehkaooN ga
    keh phir mushk-o-amber bhi is mehak ko aa key sajdey karey gi

    Kabhi zindgi mein koyi dawaa bhi harf-e-aakhir naheen he
    lutafat kheyalooN ki bas eik takhayyul
    aadhoora sa sapna
    zara aankh kholooN to yooN toot jaye
    keh jaisey koyi kaanch ka aabgeena
    Mera aabgeena bhi ik thais sey tukrhey tukhrey howa to
    takhayyul ki her roo
    kissi our hi samt behney lagi
    tabhi main ney socha

    MaiN maang-e-watan meiN ujaley bharooN ga to kaisey bharooN ga
    mery hath meiN
    aabley to haiN koyi tara naheen
    mery tareek kamrey ki dewarooN per
    ik kiran bhi naheen
    koyi khirhki naheen koyi rozan naheen
    our bhagooyi hoyi khushk roti key tukrhey
    halaq meiN kaheeN ja key phansaney lagey
    main watan mein goyaa be-watan ho geya

    Our watan sey buhat door jaa key kabhi bhool ker bhi nah socha
    keh mery watan ko zaroorat he meri
    Magar aaj jab
    eik nanney sey bachey key kehney per main
    "Hubbul-watni" pe chand jumley likhney laga hooN
    to janey kahaN sey koyi mehak si aa key mehkaa gayi he
    kori matti key peyalooN meiN bheegey gulabooN ki khushboo he
    ya aasmanooN sey aati hoyi mehak he
    yeh mehak, meri dharti ki maanoos si yeh mehak
    ajnabi dees meiN muj ko tarhpaa gayi he
    our maiN
    jo ajnabi sarzameeN meiN yooN khoo geya tha
    keh koyi bhi bulawa, koyi bhi sandeesa
    mujee chhuu nah paye
    mujee sahilooN ki taraf ley nah jaye

    Sochta hooN
    bhegooii hoyi khushk roti ki lazzat to kochh our thi
    cetlas-o-sandwich is pe qurban hooN
    our munh meiN mery cetlas-o-sandwich bemaza ho gaye

    Aye watan tuu ney jab bhi pukara mujee
    lout aaooN ga maiN
    keh koyi harf bhi
    harf-e-aakhir naheeN....

  3. #43
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 26
    "KouN Rokh Sakta HaY"


    Lakh Zabt Khuwaish Kay.......!!

    Beshumaar Da'woon Kay...!!

    Us Ko Bhool Jany Kay...!!

    Be Panah Iraday Hoon...!!

    Aur Us MuhaBbAt Ko Tark Ker K Jeenay Ka...!!

    Faisala Sunany Ko....

    Kitny Lafz Sochy Hoon..!!

    Dil Ko Iski Ahet Per....!!

    Bermalaa DhareknaY say Koun Rokh Sakta Hay.....?!!!!

  4. #44
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 27
    Muhabbat Ka Krishma Daikhtay Jana"


    Zara Sa Hosla Aay Dil..!!
    Hawa K Dosh Per Rakhi..
    Koi Aawaz Aey Gi....!!
    Tammanna Jo Kay Mann May Hay.......
    Gul-e-Naaza Khilaye Gi...!!
    Judaee Ki Jo Shiddat Hay..!!
    Yahi Hum Ko Milaye Gi..!!
    Zara Tum Dhe'yaan Say Baitho..!!
    Sanashaa Saa'atoon May Piyar K Jumlay Jo Chahet mein..!!
    Kahey Main Nay, Sunay Tum Nay..!!
    Bhataktay Hain Yaqeenan Sub Fiza'on Mein...!!
    Yahi Mahfooz Wirsa Hay Muhabbat Ka Hawaoon Mein...!!
    Abhi In Tooty Phootay Gumshuda Jazboon Ko Jurna Hay...!!!
    Wohi Aawaz Ban'na Hay Jis Ki Ye Sama'at...!!!
    Muntazir Hay Aik Arsay Say...!!
    Abhi Kuch Dair Ruk Ja Tu, Ay Dil Mere..!!!


  5. #45
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 28
    "Koi Zanjeer Ho"


    Koi Zanjeer Ho,
    Ahan Ki, Chandi Ki, Rawayat Ki,
    ……………. Muhabbat Torr Sakti Hy !


    Ye Aisi Dhal Hy Jis Pr
    …. Zamanay Ki Kisi Talwaar Ka Loha Nahi Chalta !

    Ye Aisa Shaher Hy Jis Mein
    … Kisi Aamir , Kisi Sultaan Ka Sikka Nahi Chaltaa !

    Agr chashm-Tamasha Mein Zara Si Bhi Milawat Ho !
    ……………………⠦ Ye Aina Nahi Chaltaa

    Ye Aisi Aag Hy Jis Mein
    …..... Badan Sholoo’n Mein Jalty Hain Tou Rooh'ain Muskurati Hain

    Ye Wo Seelaaab Hy Jis Ko
    ….... Diloo’n Ki Bastiyaan Awaz Dy Kr Khud Bulati Hain
    Ye Jub Chahy Kisi Bi Khwab Ki Tabeer Mil Jaey

    Jo Manzar Bujh Chukay Hon Unko Bhi tanweer Mil Jaey
    Dua, Jo Be-thikanaa Thi, Usay Taseeer Mil Jaey...!!
    Kisi Rasty Mein Rasta Pochti Taqdeer Mil Jaey...!

    …. Muhabbat Rok Skti Hy Samay K Teez Dharay Ko !
    … kisi Jalty Sharay Ko , Fana K Ista-aaray Ko !
    … Muhabbat Rok Sakti Hy, Kisi Girty Sitaray Ko !

    Ye Chaknaa Choor Aainay K Raizay Jod Sakti Hay
    Jidhar Chahy Ye Bhagain Musamoo’n Ki Morr sakti Hay..!!
    Koi Zanjeer Ho, Usay Muhabbat Torr sakti Hy …!!!!

  6. #46
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 29
    Hum aksar yen samjhtay hain



    Jisay hum pyar kartay hain



    Ussay hum chorr saktay hain



    Magar!



    Aisa nahin hota



    Mohabbat!



    Da’imi sach hai



    Mohabbat!



    Thehar jati hai



    Hamari bat kay andar



    Hamarai zaat kay andar



    Magar!



    Ye kam nahin hoti



    Kisi bhi dukh ki sorat main



    Kabhi kisi zarorat main



    Kabhi anjaan say ghum main



    Hamari aankh kay andar



    Kabhi abe-e-rawan ban kar



    Kabhi qatray ki sorat main



    Mohabbat!



    Thehar jati hai



    Ye hargiz!



    Kam nahin hoti..

  7. #47
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 30
    Mohabbat kis ko kehte hain
    Hum ne tum ne sekhaya tha
    Ibadat kis ko kehte hain yeah bhi tum ne bataya tha
    Mager jab hum mohabbat ki kisi wadi main khoye thay
    Suhanay khawab meri jaagti Ankhoon main soye thay
    Humien tanha kia tum ne koi awaz tak na dee
    Humien dhoondha buhat sapnay sajati meri AankhooN ne
    Buhat khushfehmian palay
    Buhat hi door ja niklay
    Jahan say laut anay main
    Hamien ik umer lagni thee
    To uss dumm aik pal socha!
    Ke kion na hum kuch door aur ja bhatkain
    Kisi nayi aur ja niklain
    Kisi ke sath phir hum bhee
    Khail mohabbat ka phir khailain
    Kisi ka torde dien dil hum
    Kisi ko soze main dekhien
    Mager mushkil pari hum ko
    Ke hum pather nahien balkay dharakta dil hi rakhtay hain

  8. #48
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 31
    Tery YADOON KI MEHAK SATH LIYE
    AKSAR HUM!
    DOOR kHAWABOON KE JAZEREY MAIN UTER JATAY HAIN
    “KION KE HUM TUM”……
    SIRF KHAWABOON HI MAIN MIL SAKTAY HAIN!
    MAIN NEIN SOCHA HAI KE
    IS BAR TTUMHARAY HAMRAH US JAGAHA UTROON GI…
    AUR WO BAAT JO MAIN KEH NAHIN PAAI TUM SE….
    SAMNAY TUM KO BITHA KER BARI HIMMAT KER KE….
    TUM SEY KEH DOON GI
    TUM SE KEH DOON GI KE TUM MARAY HO!!!
    TUM JO CHAHO…..
    MARY YAKTARFA MOHABBAT KO SAHARA DE DO….
    ZINDAGI YOON TO BOHAT KUM HAI MOHABBAT KE LIYE…..
    JITNA BHI PIYAAR MUJHEY DE SAKO SARA DE DO…
    APNI DUNIYA TO SADA PIYAAR SE KHALI HI RAHI!
    TUM MERI DOOBTI KASHTI KO KINARA DE DO…..
    KUCH TO BOLO…..!

    KUCH TO BOLO…..
    MUJHAY DUR HAI KE SAHAR HOTAY HI….
    TUM CHALAY JAO GAY….!
    AUR HUM PHIR SE….
    APNI DUNIYA MAIN LOUT AAIN GEY….

    YAHI YAADIN YAHI BAATIEN TO ASASA HAIN MERA…..

    BUS YAHI CHUND KHYAALAT LIYE…..
    TERE YAADOON KI MEHAK SAATH LIYE”….!
    AKSAR HUM !
    DOOR KHAWABOON KE JAZEREY MAIN UTER JATAY HAIN…..!!!

  9. #49
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    bht bht acchiii collection hai bro


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


  10. #50
    Join Date
    Apr 2011
    Location
    lahore
    Age
    34
    Posts
    259
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    153 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: !! ABBAS cOllection !! ToPIC muhabbat

    poem # 32


    کوئی موسم تو ایسا ہو
    کہ جب بچھڑے ہوؤں کی یاد کے جگنو
    چمک کھو دیں ۔۔۔
    کسی کے ہجر میں رونے سے پہلے ہی
    میری آنکھیں ۔۔۔ کبھی سو دیں ۔۔۔

    کوئی موسم تو ایسا ہو کہ جب سب پھول الفت کے
    کسی اَنمٹ Ù…Ø+بّت Ú©Û’
    میرے دل میں کھلیں
    پر
    ان میں وہ خوشبو نہ ہو باقی
    ‘ وہ خوشبو ØŒ جو تمہارے قُرب میں مِØ+سوس ہوتی تھی ‘

    کوئی موسم تو ایسا ہو
    کہ دل کے زخم بھر جایں

    اگر ایسا نہیں ہوتا
    تو پھر کتنا ہی اچھا ہو کہ
    ساری خواہشیں دل کی
    وہ سارے خواب اور ارماں
    یونہی گھُٹ گھُٹ کے مر جایں
    مجھے آزاد کر جایں ۔۔۔


    -زندہ ہوں میں، کس کے لیے


Page 5 of 10 FirstFirst ... 34567 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •