Page 3 of 6 FirstFirst 12345 ... LastLast
Results 21 to 30 of 53

Thread: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

  1. #21
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    SABAR"
    Eman ki Bunyad
    "SAKHAWAT"
    Insan ki Zeenat
    "SACHAI"
    Haq ki Zabban
    "NARMI"
    Kamyabi ki Kunji Aur
    "MOUT"
    eik bay khabar Sathi hai
    Hazrat Ali(R.A)

  2. #22
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    neeki ki subath ikhtiar karo neeik ban jao gey, buroon ki subath se perhaiz karo badi se door ho jao gey.(Hazrat Ali R.A)

  3. #23
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    Agar Tumhai'n Yaqeen
    Ho Jaye k
    Tumhara RIZQ
    ALLAH k Paas Hy
    Tou Phir RIZQ Ki
    Talash Na Kro
    Bal k
    ALLAH Ki Talash Kro
    Jis K Paas Tumhara
    RIZQ Hy ...

    (Hazrat Ali R.A)

  4. #24
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    9772B28329 - Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

  5. #25
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    Hazrat Ali (R.A) ki kuch aur Pur Hikmat batein


    Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khobiyon mein izafa kary.

    -----------

    Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do

    Woh alaa zaraf hua to ap ko aur izat day ga
    or kam zaraf hua to khud ko AALA ZARAF samjhey ga

    -----------

    "Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
    "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
    "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"

    -----------

    Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota hon k is main meri marzi hai aur Jub kabol na ho tu mein aur khus hota hon k ye ALLAh ki marzi hai

    -----------

    Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.


    ------------

    Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,

    K Yeh Ebadat Nahe Tijarat Hay
    Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
    K yeh Ebadat Nahe Ghulami Hai...
    Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
    K Mera RuB ebadat K Qabil Hai.......
    -----------

    Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya

    -----------

    "Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho Aur us se bhi Zyada Kamzor Wo hy Jo Haath aaiy howe DOST ko ganwa dy

    -----------

    2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,

    1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
    2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!

    -----------

    Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
    Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
    Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy..

    -----------

    Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.

    -----------

    Acha Dost Kitni Dafa He Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!

    Kyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa He Kyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!

    -----------

    "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,

    yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..."

    -----------

    4 Batain Ilm Ka Nichor Hain,


    1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
    2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
    3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
    4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!

    -----------

    kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.

    ------------

    Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
    Q: Qarib Kya Hai?
    A: Qyamat
    Q: Or Qareeb Ter?
    A: Maut
    Q: Ajeeb Kya HAi?
    A: Duniya
    Q: Aur Ajeeb Tar?
    A: Talib-e-Duniya
    Q: Wajib Kya Hai?
    A; Toba
    Q: Or Wajib Tar?
    A: Gunah K Forun Bad Toba
    Q: Mushkil Kya Hai?
    A: Qaber Mein Utrna
    Q: Or Mushkil Tar?
    A: Amal K Bagair Utrna

    -----------


    Bay shak dunya or akhrat ki misal aisay hy jaisay 1 shaks ki 2 wifes hon 1 ko razi karta hay to dosri roth jati ha


    Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:

    "Dost aur bhai main kya farq hai?"

    Aap ne farmaya:
    "Bhai sona (Gold) hai aur dost heera (Diamond) hai."

    Us aadmi ne kaha:
    "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyon tashbeeh di?"

    To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jaiy to woh kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'

  6. #26
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    "Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai"

    Hazrat Ali R.A.

    Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhy, yeh tumharay haq main behtar hai, bajaye is k k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.

    Hazrat Ali (R.A)

    Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor paida kar de.

    Hazrat Ali ( R.A )

    barish ka qatraha seepee aur saanp dono k muh main girta hai.
    Seepee ussay moti bana deti hai aur saanp zehar bana deta hai.
    Jis ka jaisa zarf waisi us ki takhleeq hoti hai.

    Hazrat ali (R.A)

    Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
    q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
    Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
    taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!

    Hazrat ali (R.A)

    "Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
    Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
    K koi haqeqat main tumhara ban jaye

    Hazrat Ali R.A

    Ibn-e-adam!
    Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai

    HAZRAT ALI (R.A.)

    Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo...

  7. #27
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    Hazrat ALi R.A

    Sab se buri Kamai sod ki kamai,
    Sab se buri Mazrat wo, jo mot k waqt ki jaey,
    Sab se bura Khana yatim ka maal khana he.

    Hazrat Ali R.A

    "Allah ki shan ye nahe k DUA ka darvaza kholay aur QUBOLIAT ka band kr day Ya TAUBA ka darvaza kholay aur MAGHFIRAT ka darvaza band kr day".

    Hazrat Ali (R.A)

    Tum Kisi Ko Chaho Or Wo Tumhen Thukrade,
    To Ye Us Ki Bad Nasibi Hai
    Or Us k Bad Tum Usko Zabar Dasti Apnana Chaho To Ye Tumhari Nafs Ki Zillat Hai


  8. #28
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    HAZRAT ALI (R.A.)

    Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo...

    HAZRAT ALI (R.A)

    "Insan ki izzat aur us se mohabbat karo,kyun k har insan ke andar khuda ki koi Na koi sift maujood Hoti hai."

    "Hazrat ali R .A"

    "Mash'ra kufr k sath to reh sakta hai per na insafi k sath nae reh sakta"

  9. #29
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    Hazrat Ali(R.A)

    log dukh nahi detay, un say wabasta umeedain dukh dayti hain.

    Hazrat Ali(R.A)

    Mujhy jannat Sy Zyada Masjid May Bythna Acha Lgta Hai Kyon K jannat May Mera Naffs Khush Ho Ga jab K Masjid May Mera RAB Khush Ho Ga

    Hazrat Ali (R.A):

    Ghulab Ka Phool Bano!
    kyun K Yeh Phool Us K Haath Me Bhi Khusboo Chor Daita Hai
    Jo Isey Masal Kar Phaink Daita Hai.

  10. #30
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Pakistan
    Posts
    273
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    14

    Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

    HAZRAT Ali(R.A) :

    1) Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!
    2) Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.!

    HAZRAT Ali(R.A) :

    "Jiska raabita
    khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota"

    "Naakaam wo
    hota hai Jiski
    umeedein
    duniya se
    waabasta hon"

Page 3 of 6 FirstFirst 12345 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •