Hazrat Ali(R.A)ne farmaya,"Mein puri Zindagi mein sirf eik Raat skoon se soya hoon...
Pocha gya,"Wo kon si?"
Farmaya,"Jis din Aap(S.A.W)ne farmaya,"Aye Ali kal tum n Maal-e-ghinnimat Taqssem kr k ana hai...us Raat mujhe Yakken tha k mein Subha Zinda uthon ga".....
Yeh zindagi 2 din ki hai
1 din tumharay haq mai aur
1 din tumharay mukhaalif
Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay
Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
Hazrat Ali (R.A) ne farmaya"Dost chahe jitna bhi bura bun jae kabhi us se Dosti mut torna,kyunk Pani chahe jitna bhi Ganda ho jae Aag bujhane k Kaam ata hai"...