Akbar ke baad Jahangir takht per baitha...woh Akbar ka beta tha agar uska baap hota tou yaqinan us se pehley takht per baith-ta.....
Uski biwi Noor Jahan thi jo Malka-e Tarannum tou na thi laikin baaz aur kamalaat rakhti thi....Abhi no-umr hi thi ke logon ke kabootar pakar ke ura dia kerti thi khusoosan Wali Ohdon waghera ke..............Baad main aisi zordaar malka sabit hui ke baray baron ke haath ke totay usay daikhtay hee ur jaya kertay thay...............
Jahangir ko bara hi zeerak aur samajhdar samajhna chahiye ke us ne mehez kabootron ke uranay se Noor Jahan ki liaqat ka andaza ker ke us se shadi ker li.
Jahangir ki biwi ke alawa uska adal bhi mashoor hai...usne mehel ke bahir aik zanjeer aur zanjeer se aik gahnta latka rakha tha..paas hi derban bitha diye thay ke koi feryadi nazdeek aany ki koshish karay tou us ke danda raseed karain phir bho koi na koi shakhs ghanta bajanay main kamyab ho jata tha aur Badshah ko be-waqt jagata tha ....
uski saza bhi pata hoga.
Jahangir ka adal uske zamanay ke hisab se tha...nizam-e adal main aisi taraqiyan baad ko angraiz ke zamanay main huin ke muqadma chalta hai tou berson chalta hai.....faisla honay tak fareeqain agar zinda hon toy yeh bhi bhool chukay hotay hain ke jhagra kis baat ka tha.
Zanjeer aur ghantay wala nizaam aaj aayid kiya jaye tou yeh khatra hai ke log yeh cheezain hi chura lai jayein ge, baich khayein ge, Jahangir ne futuhaat zyada nahi keen...bas baitha tazak likhta rehta tha, insaaf kerta rehta tha, sharab pita rehta tha aur Noor Jahan se mohobbat kerta rehta tha.
From: Urdu ki aakhri kitab
By: Ibn-e Insha