ye mein ne aik koshesh ki hein ab muje nahi maloom k kaisi hein ager app logo ko is mein koi khami nazar aye to plz muje bata dejiye ga.
jis tarha kashesh saqal(grevitational force) suraj aur zameen mein hein jo kisi cheez ko apne daire se niklne nahi daiti. isi tarha kashesh saqal khana kaaba main hein. secience daan kehte hein k kashesh saqal ka markaz zameen ka center hein aur ye baat to sari dunia janti hein k khana kaaba zameen k markaz yani center mein hein. ye is ki kashesh hi to hein jo her saal lakhon log is ki taraf khenche chale jate hein aur is k gird isi tarha tawaf karte hein jis tarha suraj k gird us k siyare. To pir dunia ko ye baat maan laine chehye k kashesh saqal ka markaz mere Rub ka ghar yani Khana Kaaba hein aur ye baat her insan ko maan laine chaheye k wo is ki kashesh se bahar nahi nikal sakte jis tarha suraj ki kashesh se us k siyare aur zameen ki kashesh se us per maojud sari chezain nahi nikal sakti.
ALLAH ne kis tarha nature k zarye hamein samjane ki koshish ki hein k yani ager koi siyara suraj ki kashesh se nikalne ki koshesh kare ga to raste mein maojud kisi aur siyare ya sitare se takra k fana ho jaye ga. Isi tarha ager koi musalman us k ghar ki , islam ki kashesh se nikalne ki koshesh kare ga to fana ho jaye ga.
jis tarha mere Rub ne suraj k gird tawaf karne k liye her siyare k liy aik rasta mutaian kia hein k ager wo is raste pe chale ga to salamat rahe ga q k ye science bhi kehti hein k ager zameen 3 micro second k liy bhi apni raftar se idar udhar hui to tabha ho jaye gi. Isi liye use apne liye mutaian kiye hue raste par usi raftar se chalna hein isi tarha ALLAH ne musalmano k liye bhi aik rasta mutaian kia hein aur wo hein serate mustaqeem, jo serate mustaqeem pe chala wo kamyab raha aur jis ne is se pirne ki koshesh ki wo tabaa ho gaya.
Aj musalmano ki tabahi ki sub se bari waja bhi yahi hein k wo serate mustaqeem ko chor kar dusre raston pe chalne lage hein .isi liye un ka takrawo bhi dusri qowaton se hone laga hein. Aur is takrawo mein musalman hi pash pash ho rahe hein .
Jis din musalman wapis apne raste ki taraf palat aye wo din INSHALLAH dobara se duniya pe un k urooj ka din ho ga.