Mumkin ho aap se tuo bhula dijiyey mujhay ...
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay ....
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko ...
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay ....
Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu ...
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay ....
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin ...
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay ...
Ki main ne apne zakham ki tash'heer ja baja ...
Main maanta hoon jurm, saza dijiyey mujhay ...
Qaim tou ho sakey koi rishta gohor k saath ...
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay ....
Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faida ...
Hai tairgi tou aag laga dijiyey mujhay ....
Jaltey dinoon main khud pas deewar baith kar ...
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay ...
Youn tou shoola-e-jaan sard ho chuka ...
Laikin sulag uthoon tou hawa dijiyey mujhay ...