Results 1 to 10 of 10

Thread: Writers Club Competition August 2011

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Writers Club Competition August 2011



    Sub Jantey Hain Ramdan ka Babarkat Mahena hamare liye kis ahmiyat ka hamil hai tu maine socha hia ke is bar app "Ramdan Kareem" per koi b tehrer likhai gai wo koi kahani b hosakti hai jo ke Ramdan se related ho ..bus us main Ramdan ka zikr zaror hona chahye ...apna he Ramdan ka koi waqia share kardijeeye kuch b...bus apne lafzon main honi chahye tehrer...


    Rules :


    1 ... Aik member aik he bar Share Karsakta hai.
    2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
    3 ... Comp ki last Date 21 August hai.
    4 ... Winner ka itikhab hum khud karey gai.

  2. #2
    MaSoOma's Avatar
    MaSoOma is offline ♥~♥♥La Hasil♥♥ ~♥
    Join Date
    Dec 2009
    Location
    dream world
    Posts
    825
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    36 Thread(s)
    Rep Power
    21474852

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    walikum salam
    nice topic..
    i will try inshaALLAH
    روز و شب کے میلے میں
    غفلتوں کے مارے ہم
    بس یہی سمجھتے ہیں
    ہم نے جس کو دفنایا
    بس اسی کو مرنا تھا


  3. #3
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    sahi
    Alhamdullilah

  4. #4
    Join Date
    May 2008
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    8,519
    Mentioned
    6 Post(s)
    Tagged
    274 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    Ramzan Ka Mahina Beshaq Boht Barkaton wala hai, aur hum sab hi jante hain is ki ahmiyat o afadiyat, hu sakta hai k sab is mahinay k ba-barkat hune par roshni dalain , leken main ne jis mozoo par likhna munasib samjha hai woh hai

    Pakistan Main Ramzan
    har islami mulk main Ramzan k shoroo hute hi awaam ko asaniya dai di jatin hain , leken hamara pakistan is muqaddas mahinay main bhi azaab se do-char hai Ramzan shoroo bhi nhi huye thay k Mehngai ka azaab ham par mussalat kar dya gaya, aam si aam cheez par bhi kai guna paiso ka izafa kar dya gaya..... yaani k ab awaam sukoon se Iftari aur Sehri par bhi ahtimaam nhi kar sakte

    doosra azaab jo kai arsay se pak par hai , aur kaha gaya tha k ramzan main aisa nhi huga, leken haye ray hamari govt, jo abhi tak BIJLI K BUHRAAN par qaboo nahi pa saki, Sehri hu ya Iftari , Taraweeh hu ya rat ki ghari , har waqt bijli k na hune se pakistani log kis azaab main hain, yeh bat hum jaisay log hi samjh sakte hain, kaash k hamari govt aur Saddar Sahab samjh sakte

    teesri pareshani jo hamare bachon ko huti hai woh yeh k aksar schools main is mahinay imtihan rakh deye jatay hain, jis se teachers aur stdnt dono pareshan rehte hain , teachers be-chari tu phir bhi rozay rakh laiti hain , leken hamare Saddar-e-Muallim yeh nhi sochtay k bachon ko zehno par kya asar parta hai jab un ki mayen yeh kehti hain k roza nhi rakho , paper ki tyaari karo..... kitna farq hai na , yeh hai hamara islami mulk?

    4th aur aakhri baat, TARGER KILLING k naam par kitne log qatal hu rahay hain , kasheeda ilaqon main abhi bhi khoon ki barish hu rhi hai , socha tha shayad Ramzan k Mahinay tak tu awaam sukh se jeye gi , leken aaj bhi har ghar matam kadah bana hua hai .....

    aakhir kab tak zulm ka bazar garm rahay ga ??????
    Aye Allah Is Mah-e-Ramzan Ki Barkat se hamare Mulk par Rehem farma , Ameen

    2dnmmf - Writers Club Competition August 2011

  5. #5
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Lahore-Pakistan
    Posts
    1,636
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    944 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    ۔۔۔رØ+مت میری دنیا پر۔۔۔

    جیسے ہی شعبان کا مہینہ ختم ہوا تو اپنے ساتھ ڈھیروں رØ+متیں اور برکتیں سمیٹے رمضان Ú©ÛŒ آمد ہوئی۔کروڑوں بے جان اور پیاسے دلوں Ú©ÛŒ پیاس اور دلکشی Ú©Ùˆ بڑھانے Ú©Û’ لئے رمضان Ú©ÛŒ آمد ہوئی۔
    مجھے اچھی طرØ+ یاد ہے Ù¾Ú†Ú¾Ù„Û’ سال رمضان میں میرے کئی دوستوں Ù†Û’ میرے ساتھ رمضان Ú©Û’ روزے رکھے۔ان Ú©Û’ چہرے Ú©ÛŒ دلکشی آج بھی مجھے یاد ہے۔کچھ دوست تو ایسے تھے اس برکتوں والے مہینے کا فائدہ نہ اٹھا سکے۔مگر یہ کیا؟؟؟؟اس دفعہ انہی دوستوں میں کئی ایسے دوست مجھ سے بچھڑ گئے ہیں۔۔۔۔منوں مٹی Ú©Û’ نیچے دبے ہوئے وہ چہرے اب بھی میری بے جان آنکھوں Ú©ÛŒ پتلیوں Ú©Û’ گرد گھومتے ہیں۔
    ابھی ایک سال پہلے Ú©ÛŒ ہی تو بات ہے۔۔۔میں سب سے کہتا رہا دوست اللہ تعالیٰ Ú©ÛŒ رØ+مت چھما Ú†Ú¾Ù… برس رہی ہے اپنی آخرت Ú©Û’ لئے Ú©Ú†Ú¾ بوندیں تم بھی سمیٹ لو۔مگر کاش انہوں Ù†Û’ میری بات مان Ù„ÛŒ ہوتی۔
    عشرہ رØ+مت گزرا تو مغفرت کا عشرہ شروع ہو گیا۔
    خدائے برتر Ú©ÛŒ رØ+مت Ù†Û’ ہزاروں دلوں Ú©ÛŒ پیاس بجھا دی تو قدرت چیخ چیخ کر پکارنے لگی۔۔۔ہے کوئی جو مجھ سے اپنے گناہوں Ú©ÛŒ معافی طلب کرے؟؟؟ہے کوئی جو اپنے گزشتہ گناہوں Ú©Ùˆ میری رØ+مت سے دھونا چاہتا ہے؟؟؟ہے کوئی جو میرے رمضان Ú©Û’ دوسرے عشرے میں روزے رکھے عبادت کرے؟؟؟
    قدرت کی چیخ وپکار سننے کے لئے ایسی سماعتیں میں کہاں سے لاتا؟
    میں نے تو فقط اپنا سارا وقت کھیل کود،ہنسی مذاق میں اڑا دیا۔۔۔۔
    کئی تو اللہ تعالیٰ کے اس متبرک مہینے کے اس عشرے میں عبادت گزار رہے اور کئی لوگوں کی توجہ نہ رہی۔۔وہی گھاٹے میں رہ گئے۔میرے مولا میری سماعتوں میں تیری اذان کی صدائیں کیوں کر نہیں جاتیں؟؟؟کیا میرا دل مسلسل گناہوں کی طرف راغب رہتا ہے؟؟؟ کیا میں مسلمان نہیں ہوں؟؟
    آہ افسوس از Ø+د افسوس میں رمضان میں ادھر ادھر گھومتا رہا۔
    میرے پاوں برائی Ú©ÛŒ طرف راغب رہے مگر کبھی میرے پاوں مسجد Ú©ÛŒ طرف نہ اٹھے۔۔افسوس از Ø+د افسوس۔۔۔۔
    رمضان کا دوسرا عشرہ بھی الوداع کہہ کر نکل گیا۔ رمضان کا تیسرا عشرہ آن پہنچا جہنم کی آگ سے آزادی کا عشرہ ۔قدرت نے گیارہ مہینے برائی کرنے والے انسانوں کے لیے رمضان کا متبرک مہینہ بنایا
    جو گیارہ مہینے رØ+مت سے Ù…Ø+روم رہے ان Ú©Û’ لیے دس دن اور رات اپنی رØ+مت Ú©Û’ دروازے کھول دیے۔۔۔
    جو گیارہ مہینے گناہوں سے توبہ نہ کر سکے ان کے لیے دس دن اور رات معافی طلب کرنے کے لیے مواقع فراہم کر دیے۔۔۔
    جو گیارہ مہینے گناہوں کی دلدل میں دھنستا چلا گیا جس کے بچنے کی کوئی امید نہ رہی ۔جو جہنم کے دروازےکو تھپتھپا رہا تھا اسے بھی آزادی دینے کے لیے دس دن اور رات کا موقع دے دیا۔۔۔۔۔۔
    میں قربان جاوں اللہ تباک وتعالیٰ سے جو مومن Ú©Ùˆ فقط رØ+متیں لٹاتا جا رہا ہے۔۔۔گناہوں Ú©Ùˆ معاف کرتا جا رہا ہے۔۔۔۔جہنم سے آزاد کرتا جا رہا ہے۔۔۔۔۔
    مگر افسوس از Ø+د افسوس کہ ہم بھولے بھٹکے لوگ اس Ú©ÛŒ رØ+متوں سے خود Ú©Ùˆ چھپاتے پھر رہے ہیں۔۔۔۔آئیے آج ہی وعدہ کرتے ہیں کہ ہم باقی رمضان Ú©ÛŒ تمام رØ+متوں Ú©Ùˆ کہیں نہیں جانے دیں Ú¯Û’
    اور آج ہی اللہ Ú©Û’ Ø+ضور گڑگڑا کر معافی طلب کریں Ú¯Û’
    کیوں کہ وہی غفور الرØ+یم ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ˆØ§Ù„سلام اسد علی Ø+سنین
    sagar3 - Writers Club Competition August 2011

    جانےکیسا رشتہ ہےمیرا اسکیذاتکےساتھ
    وہذرا بھیخاموشہوتوسانس ٹھہرسی جاتی ہے




  6. #6
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    Ramzaan ka Roza aur Hidayat



    Ramzaan ka mahina ebadat ka mahina hai ALLAH es mah ki shaan se her bande ko naik taoufiq ata kerta hai jo benamazi hota hai wo bhi namaaz parhney lagte hai aur jo roza nahi rakhtey thy wo pore mah k rozdaar ban jatey hai ye mahina hidayat k liye hai per hamrey ramzaan k rozey main hidayat per qaim koun rehta hai koun sa wo banda hai jo es mah k rozon ko rakh ker bhi ajer gawata hai?

    Ramzaan ke es mah e mubrak ki shaan aur fazilt ka madrasa main janab ji se soon ker eak 12 saal ka bacha bhut mutasir howa aur badey gaour se madrasey k janaab ki baton ko soon ker khush ho raha tha k es mah jo banda ebadat main guzarta hai uske pore saal k gunaah maaf hojate hai aur es mah ki shaan hi nirali hai ALLAH paak ne es mah ko nazil kerke ham sab musalmano per bada ehsaan ata fermaya ye mah sab musalmano ko naik taoufiq ata kerta hai her burayi se bachata hai badey se leker bachon tak ko roza namaaz ka paband bana deta hai ham gunaahgaron ko ramzaan ki fazilat se aur ALLAH ki rahemat se deen ki eslaah ka ek mouqa ata kerta hai aur naik amaal ka sermaya es mah main ebadat se hi hasil ho jata hai aur ramzaan kareem k rozon k mukamal hotey hi ALLAH Tallah hame Eidul fitr ki khshion se nawazata hai Aye ALLAH shoker hai tera lakohn bar ham per jo tune ye rehmaton aur berkaton wala mah se nawaza hamey naik raah dikhana hamesha namaaz ka pabnd aur sirat e mustaqeem ki raah ka rehber banai rakhna hamri ebdat aur rozey zaya na ho Ameen....

    es mah k fazilat se mutasir hoker 12 saal ka ye bacha apne dil main ALLAH ki bepaanh mohbbat ka lashker lerker pukhta Eradon se rozey rakhta hai namaaz parta hai taraweeh k liye bhagta hai es masoom se bache k dil amin ALLAH paak ki ebadat ka jazba dekh ker uske wlaid aur walida bhut khush hotye hai ye apne bade bhai bhenon k liye hi nahi apne qul ghar walon k liye ye bacha misaal qaim kerta hai....


    per afsoos ek rooz bachey ne achnak kisi baat per rozey main uske walid ko gusse main gali detey howe soon liye bachey ko bhut bura laga aur wo namaaz amin ro ro ker apne wlalid k liye ALLAH se maafi talb kerne laga use bhut hayerat howe k abu roza hai fir br wahiyat alfaaz kahe ja rahye thy us bachey k zahen main janab ji ki batein aney lagi wo bhut afsoos kerney laga k uske walid ka ye kaisa roza howa....?

    wo apne ghar k mahoul se kafi distrub rehney laga uske bhai bhen roza rakh k b sari raat jagtey tv aur movies aur songs ssonne main aur sara din namaaz ko bhool ker soye rehty aur jhoot bhi kehte walid se wo namaaz partey hai uski ammi khood unke saath baith ker movie tv programs ekhti reguler aur ramzaan ko un log ka roozana dekhne ka nazeryiya ye rehta k kounsa naya model aya hai kounsi dress achi banao jo k compair kerte k meri mere friends se achi ho roozana Eid ki shopping aur fazoul time pass amin guzaar detey wo bacha akser rota namaaz parh ker dua kerta un sab k liye jo razaan kareem main ALLAH ki ebdat aur rozon k saath bhi burayi kerte waqat ehsaas tak nahi kertey k un logon ne kaya khoo diya apni chotti si nadanion aur show sha main lag ker kitne badnaseeb ban gai wo gunaah kerkey wo kehta apne Rab se k aye ALALH teri ebdat k mahiney ko ye log jo zaya ker rahye hai unhey main bacha kaya samjhaon sikhaon unhey tu hi hidayat ata ker k rozon amin apne gusse per qabu rakhye apni zabaan ki hifazat karey roza sirf naam nahi khana na khaney ka roza naam hai her nurayi s eprez kerne ka ebadat kerne ka ye enka rozza nahi fakha hogaya jo sara din namaaz ko bhool ker sote hai aur jagte hai tu sirf aftari k lazeez pakwaan k liye ye kaisa roza hai ALLAh mere walid ka jo rozon main wahiyat alfaaz kehte ho zara si bhi shermindigi nahi mehsoos kertey jab k wo mere walid hai mere serparast her maa madrasa hoti hai main kaya sikhonga apni maa se k wo moive shopiing aur songs sonney ki bajai ebdat karey aur mah ki fazilat ko aur berkat ko smait ley ...

    Aye ALLAH main pashemaa hon apne walid aur walida aur bhai bhen k liye aye ALLAH main chota masoom kuch anhi kerskta ye sab dekh ker bhi lekin aye ALALH main tujh se sherminda hon k wo log mere ALLAH ki mohbbat ko na pehchaan sakey gunaah k dal dal main main benamazi ye rozdaar kaisey hai jo bina namaaz sara din sote rehtey hai
    taraweeh k waqat bazaaron ki shaan badatey hai aur rozon amin apni zubaan per qabu nahi rakhtey aye ALLAH aye qul mumnim aur mumina muslim aur muslima ko hidayat ata ker k es mah e fazeel ki rehmaton se ajer o sawaab se mahroom na rahey tere mehboob per nazil Quraan e paak ki tilawat kerna na bhooley es fani dunya k nafsa nafsi bazaar main jo tere badgumaan bandey bhtak gai hai unhey tu hi naik raah sirat e mustaqeem ki dikha aye ALLAH paak jaisa tune mujh massom bache k dil amin emaan ki daoulat aur apni mohbbat bher di ayese hi unki eslaah ker aur unhey her burayi se bacha wo bacha rotey rotey eak khat likha apne qul family afraad k naam aur es qader sadma le liya k wo khat uske haathon main rah gaya aur wo bacha behosh hogaya....

    subah uski walida tajub kari k aaj ye na namaaz ko gaya na masjid k naam tak liya majra kaya hai use uthane lagi tu wo nahi utha sarey log uski wlaida ki awaaz se waha jama hogai aur jab uske walid ne ro risala jo usne bade pur esraar elteja aur afsoos k saath likhtey howe rotey rotey saari duwaain aur sabki khmiyaan likh ker hidayat ki dua talab ki tu use parh ker sab k ansoo nikal gai aur wo sab apne kiye per bade sherminda howe aur wo masoom bacha unke liye ebrat ban gaya ....

    ham ne kabhi socha hai k ham log hadees aur bayaan aur masjidon aur naik bandon ki bheer main rah ker bhi koun burayi k qareeb jarahey hai aur kounsi naiki kp apney se door kerdetye hai zara se gusse aur dunyawee fashoin k liye kis qader ALLAH ki rehmat se door aur ebdat se khood ko mahroom rakh chuke hai sochiyega hi nahi amal bhi kijiyega zaroor roze naam nahi sirf khana pina na khaney ka wo fakeha khailga ager aap ne apni zabaan per qabu aur namaaz ko chord diya tu ALLAH ham sab ko ayesi buraion se bachai jo befazoul bina khouf ham kertey rehtey hai aur eak sikanj tak nahi ati k ham ne hamra roza ka ajar kho diya bas ALLAH hamarey qul muslamn bhaion aur bhenon ko hidayat ata karey k wo apna roza zaya na karey ALLAH unhey mehfooz rakh her gussey se rozey amin aur hifazat karey wo unki i zabaan ki ebdat aur rozon k saath mukamal emaan ki aur ebadat kii raah main es mah e Ramaan ka ajr o sawaab na gawai Ameen summa Ameen....

  7. #7
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    kindly naz kal tum raat wagera mein krna comp close kyunke aik tu Sd band tha dusre dopahar mein zyada time nhi hota ke post karun.. subha hi karti hun mostly..

    so koshish karungi magar tum kal raat mein close krna plz..
    Alhamdullilah

  8. #8
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    shoker hai meri post wayese hi hai main ne ese save v ni ki thi hunh....

  9. #9
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Writers Club Competition August 2011

    !!.~~~<<<Assalam o Alaikum>>>~~~!!

    !!~~~<<<RamZan MUbarak>>>~~~!!

    "Mujhe Aaj Bhi Yaad hai MEin jab choti thi Rozey rakhti thi shru shru..
    tu aik Din Ammi se Chiken Parathay Ki farmaish ki thi.. Ammi ne hami bharli thi magar jab sehri ke waqt uthi tu ammi ki tabiyat sahi nahiin thi
    Ami ne mana kiya keh mujhe chakkar arahe hain aj Roti or bread le lo magar meine zidd ki thi ke Chiken ka paratha hi khana hai..

    Phir ammi aise hi khari ho gayi bananey aur abhi pehla hi paratha taway pe daala tha ke Ghee zyada garam hone ki waja se cheent ammi ke cheheray per pari..aik tu tabyat wese theek nhi thi unki uper se yeh sab ho gaya..

    Amii ke poore face per takleef ke asaar the ..Phir unhone hazir dimagi se aloo ke qatley rakh liye take jalan kam ho jaye.. saara ghar jaag gaya abbu ne mujhe buhut danta tha ammi ko hospitaal le gaye phir pata nhi kitne mahin e gUzre tab ja ker Dark spots khatam hue...aur yeh sab meri waja se hua tha tu mera roza rakhne ka bhi dil nahiin cah raha tah sarey chao khatam ho gaye the..bas darr lag raha tha aur nidamat ho rahi thi ke meri waja se ammi ko takleef pohanchi..Laiken ammi ne buhut pyaar kiya aur roza rakhne per asraar kiya..

    magar us din ke baad meine kisi baat per ziada zid nahiin ki..

    yeh tu mere bachapan ki nadani thi jab soch itni waseeh nahiin hua karti thi.. magar jo nadaani hum sab soch samajh rakhne ke bawajood aaj kar rahe hain uska kiya ???

    sabr o zabt ka daman chor diya hai..zara si bardaasht nhi..kisi na kisi baat ko issue bana kar zidd mein ajate hain..

    bijli ka bohraan ho ya mehnagayi ,paani ka masla ho ya deegar awamil

    khilaaf e tawaaqa bata bardaasht nhi hoti khud tu takleef mein hote hain sheher mein tor phor macha kar dusron ko bhi takleef dete hain..Ramzan ke mahine ka lihaaz bhi nahiin raha ..

    Yeh jalao gherao yeh cheekhna chillana pathrao ....jaloos nikalna.. Iska Hukoomat per tu koi asar nhi ho raha haan magar awaaam ko zaror takleef uthani par rahi hai.. awaam Ghar mein band ho ker reh gaye hain..
    Insaan itna shiddat pasand ho gaya hai ke dusre ki takleef ka ehsaas nhi hota ba sapni pari hoti hai..yeh jo kuch karr rahe hain Ishtaal ke naam per qatal o gharat gairi,tayar jalana,mulk mein fasaad phela is se hukumat ko kya farq par jana hai??ulta aman ki surat e haal kharaab ho rahi hai..kahiin ais ana ho ke unki zidd unka ghussa khud unke liye nuqsaan deh sabit ho kahiin kisi din unke gharwale bhi ghar mein bebas ho ker reh jaye..Sochna chhahiye kiya kar rahe hain..kyun kar rahe hain bachon jesi nadani..??

    Hukumat Is terhaan baaton mein aney wali tu nhi hai..asal mein humein ab tak hukumat hi fair nhi mili hai laiken is ka matlab yeh nhi ke hum unfair game khelna shru ker dein... Awaam ko aisa rehnuma chahiye jo usko sahi maani mein Islami Jamhooria Pakistan bana dein Aman o amaan qayim kar dey Har taraf Islama ka bol balaa ho Musalmaan sukh ka saans lein..jo wesa aman qayim kar de jo 1947 ki azaadi ke baad naseeb hua tha...
    aisa hi hukumraan chahiye humein.aur aisa hi pakistan jahan Dilon mein nafrat na ho aik dusrey ke liye pyaar mohabbat,izzat o ehraam ho..aur jahan wesa aman ho jo Allah ne makka aur madina mein qayim kar diya..

    Ya Allah Pakistan mein wesa Aman qayim karde jo 1947 ki azaadi ke baad musalmano ki zindagi mein aya wesa Aman qayim kar de jo makkah Al mukkarma aur Madina Munawarrah ko naseeb hai.. beshak tu raheem o kareem hai aur Dilon Ke haal Janne wala hai..Ya Allah hum bebas qoum hai humari pukaar sun Ley aye Paalne wale Aman Qayim Farma(Ameen)
    Alhamdullilah

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Writers Club Competition August 2011


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •