Ramzan Ka Mahina Beshaq Boht Barkaton wala hai, aur hum sab hi jante hain is ki ahmiyat o afadiyat, hu sakta hai k sab is mahinay k ba-barkat hune par roshni dalain , leken main ne jis mozoo par likhna munasib samjha hai woh hai
Pakistan Main Ramzan
har islami mulk main Ramzan k shoroo hute hi awaam ko asaniya dai di jatin hain , leken hamara pakistan is muqaddas mahinay main bhi azaab se do-char hai Ramzan shoroo bhi nhi huye thay k Mehngai ka azaab ham par mussalat kar dya gaya, aam si aam cheez par bhi kai guna paiso ka izafa kar dya gaya..... yaani k ab awaam sukoon se Iftari aur Sehri par bhi ahtimaam nhi kar sakte
doosra azaab jo kai arsay se pak par hai , aur kaha gaya tha k ramzan main aisa nhi huga, leken haye ray hamari govt, jo abhi tak BIJLI K BUHRAAN par qaboo nahi pa saki, Sehri hu ya Iftari , Taraweeh hu ya rat ki ghari , har waqt bijli k na hune se pakistani log kis azaab main hain, yeh bat hum jaisay log hi samjh sakte hain, kaash k hamari govt aur Saddar Sahab samjh sakte
teesri pareshani jo hamare bachon ko huti hai woh yeh k aksar schools main is mahinay imtihan rakh deye jatay hain, jis se teachers aur stdnt dono pareshan rehte hain , teachers be-chari tu phir bhi rozay rakh laiti hain , leken hamare Saddar-e-Muallim yeh nhi sochtay k bachon ko zehno par kya asar parta hai jab un ki mayen yeh kehti hain k roza nhi rakho , paper ki tyaari karo..... kitna farq hai na , yeh hai hamara islami mulk?
4th aur aakhri baat, TARGER KILLING k naam par kitne log qatal hu rahay hain , kasheeda ilaqon main abhi bhi khoon ki barish hu rhi hai , socha tha shayad Ramzan k Mahinay tak tu awaam sukh se jeye gi , leken aaj bhi har ghar matam kadah bana hua hai .....
aakhir kab tak zulm ka bazar garm rahay ga ??????
Aye Allah Is Mah-e-Ramzan Ki Barkat se hamare Mulk par Rehem farma , Ameen