hmmm sahi
There is no good or evil,there is only power and those
too weak to seek it!!
DUA...MUST READ AND MUST FORWARD
Then Which Of The Favours Of Your LORD Will You Deny?
"Be In This World As If You Were A Stranger Or A Traveler"
(Bukhari)
main nay khyaal ka izhar is liye nahi kiya tha k ap agree kero
or achi baat hy ap agree nahi kertay
pehli baat gov ki ap nay kaha tou ager hum nay select nahi ki tou kya kisi or nay ki hy
phr tou pata chalna chahye na kis nay ki ?
ager ap nay nahi ki tou why dont you come out on roads and ask abt the gov you have not selected?
main ghusa nahi ker rehi aisa lagta hy
per hab kisi say meri behas hui yeh sunanay ko milta hy hum nay nahi chunna tou bhai kon log thay jinho nay vote dalay?
or ager cheating b hui tou kya 17 crore awam os aik crore logo ka kuch nahi bigaar sakti who were involved in it?
(may b main quantity main theek na hun )
hmmm acha kaha ap nay i shoul b practical well apni nazar main men practical he hun main janti hun mere samnay exams main cheating hoti rehi but i did not take any step..............
mere samnay log mazloom ho ker b saza bhugat rhay i dont take any step
or aj ka tou taza waqia subha sehri tym i know pak k bht say ilaqon main light nahi ho geee but there is in some areas repoter khud repot kr raha hy k light hy and news caster is say ap nay suna nazreen kisi ilaqay main light nahi and i was stunned muunh per jhoot............
main gov ko blame kernay k haq main nahi q k main khud ko perfect nahi samjhti so i said that
2nd thing you said k main nay oldy goldy baatein ki that was also funny for me
k hm life style nahi bdal saktay'
i think its china or japan
when they were facing i think econmy problem or something like that
sorr meri yadasht itni achi nahi
they start use bicycle still majority of them ride bicycle
tou kya tab wo log yeh kehtay k nahi ji nahi sab mulkon main car use hoti hm tou cycle nahi chalayen gay
they decided they will change themselves for sometime for their better future and you see now where are they?
or jahan tak baat hy k offers hui tou mera itna knowledge tou nahi may b yeh ghalat he hua ho per kya ap apnay ghar kisi ko is had tak ghusnay do gay k wo aik aik baat ko janay?
haan yahan yeh b point hy phr wazistaan main q hm nay ghairon ko anay diya
yeh dono point mere mind main confusion paida kertay hain so i cant say anything
@ Assassian
mjhy der tha light na jaye so i posted half
hmmm ap nay baat ki awam pay ker rehi hy tou theek hy jis qeemat per pay ker k wo lay rehi hy osay mil b raha hy so why they are blaming?
yeh example aisi he hy ap fruit ya kuch b lainay jao os main thora sa nuqs hy ap osay daikhtay ho shopkeeper ko b kehtay ho but if he say k aisa he milay ga tou ap per depend kerta hy ap osay lo ya chor do ager ap os qeemat per lay laitay ho tou ap soda ker chukay ho now you have no right to say shop keeper wrong
tou jab ap ko pata hy ap ko loadshedding k sath he light milni hy ap agree ho chukay hain tou why are you blaming?
hum insan especially pakistani hansi aati hy mjhy os per he boltay hain jis per bas chalta hy
roz wapda k office jaltay hain un k officers pit'tay hain tou koi ja ker light or electricity k minister ko q nahi marta?
jisay saza milni chaye wo tareef suntay hain jo becharay khud hamdard hain logo k un k hathon he pit'tay hain
and i m not practical yes its true i m not practical
practical hona means have power on weak ?or just sitting in AC and blaming the gov they are doing nothing kamal hy ji
or baqi baat ap nay jahan tak ki hy main electricity use kerna band ker dun?
tou i dont think so mera ap ko koi explain kerna banta hy but phr b what do you think main itna bol k yehi kehti hun gee i cant change my life style?
alhmdulillah raat main chand hy subha main suraj
thandi zameen hy tou qudrat ki hawa
per in sab baaton ka matlab yeh nahi hy k kisi insan ko luxury mein rehna pasand nahi ya facilities osay muyasar na hun
main nay sirf yeh kaha hy k abhi kuch wqt k liye thori qurbani sab ko daini paray geee
baqi ap kehtay ho gov k pas sab kuch hy wo khud nahi daiti tou kya ap nay khud un k pas ja ker daikha hy?media daikho ander ki baat suno well everyone is corrupt i know pakistan gov is totally corrupt but they are so because we are letting them to do so.........
ager un k pas hy tou niklay awam utaray inhain lain apna haq ?
bhai yahan sab ko jaan pyari hy bhaith k discuss kerna asaan hy practical hona mushkil thats why i m agreeing that i m not practical
or jahan tak adaaron k na dainay ki baat hy tou jaye awaam kerwa day band jo bill nahi pay kerta na day light but then? kya ho ga wo adaray b tou wohi hain jin per ap ko so called life style base kerti hy
sorry ap ko bura laga ho tou.............
wese main is terha behas main nahi perti
per jab itna afsos afsos daikha or light b nahi the tou bas main likhti gayi .......
sorry again ager kaheen b lagay k main ghusay main aa gayi tou bilkul aisa mat smjhain.....
and second thing ap ko aitraaz kernay disagree kernay ka pora haq b hy chalo isi bahanay mere he viewpoint clear ho jaye ga an main practical ho jaoun gee
dhanak inna chota reply
[IMG][/IMG]
DUA...MUST READ AND MUST FORWARD
Then Which Of The Favours Of Your LORD Will You Deny?
"Be In This World As If You Were A Stranger Or A Traveler"
(Bukhari)
DUA...MUST READ AND MUST FORWARD
Then Which Of The Favours Of Your LORD Will You Deny?
"Be In This World As If You Were A Stranger Or A Traveler"
(Bukhari)
g han govt humne to kya kisi ne b select nahi ki yeh govt kahin aur se he select hue hai aur ye mere khayal se aisa plate form nahi hai k is topic pe discussion ki jae...ab tak Pakistani ki history k jitne curupted elections yeh the koi aur nahi the...is main aik foriegn intelligence agency ne jitna paisa lagaya wo ajtak kisi aur kam mai nahi laga...islye is bat ko to bhol he jaona k humne elect kya hai isko aur awain ye bar bar jo horaha hai mqm govt se alag ho kar 8th time shamil hue ye waise he nahi hue kuch reason hai jo shamil horahi hai nawaz sharif q kehta hai bar bar aik bar nahi buhat bar usne kaha k hum govt ko hatana nahi chahte ye apni mudat pori kare...think about it k aisa q hai...in points se bat to u ko samjh ajani chahye hai
dosri chez yeh k 17 crore awam zaror hai mulk main magar 17 crore main se mushkil se 2 crore log vote register karwatay hain aur jab election hote hain to in 2 crore main se b shaid 60% he log jatay hain polling klye is bat se u b inkar nahi karogi aur baki jo bache kuchay votes hote hain wo kaise poray hote hain us se b u ikhtalaf nahi karogi....
main to pehle he is news wali bat par keh chuka hoon k news manipulated hoti hain in main haqeqat ko kuch ka kuch kar k dekhaya jata hai pehle khabar kuch arhai hoti hai jaise he koi wazer ya koi aur govt representative wahan puhnchta hai khabar ka sar pair he badal jata hai islye main to in news pe believe karta he nahi hoon
rahi bat govt ko na blame karne ki k hum perfect nahi hain to main ye kahonga k hum perfect na b hoon to khair hai in a sense k humne awam se waday nahi kye the hum ye ye karainge unhone awam se waday kye the k wo ye sab karainge aur no body is perfect in the world except PROPHET MOHAMMAD SALALLAHU ALAHI WASALLAM...
magar bahir west main even malysia indonesia ki awam aise masail face nahi kar rahi jo hum kar rhay hain india ki abadi hum se 6times zada hai magar unka hal aur hamara hal main zameen asman ka farq hai curruption level hamara kahan hai aur unka kahan hai
thek hai u kehti ho na k hum lifestyle badal sakte hain agar aisa hota na to itni khwari na kharahi hoti
ab bat karte hain u k angle pe k lifestyle change kya jae to wo aise karte hian k jaise pehle hota tha log gharon ki chaton par sotay the sehan main sotay the pani klye pitchers use karte the aur aisi sari chezain hoti the...
mera nahi khayal k ab k dor main aisa possible hai...jo halat hochuke hian log khofzada hai har chez se bahir kya sona log to ab din daharay lut jatay hain maray jatay hain pata nahi hota k ghar se nikla banda wapis b aega ghar k nahi
rahi bat cycles pe ani k no doubt k aisa hua hai
magar us nation main hal kya tha k wahan k hukmaran b isi chez pe amal karte the ye nahi tha k khud bullet proof cars main ghom rahay hain jab unhone guzarna ho to sari trafic roki hue ho aur sirf wo guzar rahay hon poray city ki trafic ruki ho aur wo thhat se jarahay hon...abi ki he bat karleta hoon abi parliment house klye aik tunnel ban rahi hai 3500 million ki jo sirf in politicians klye hogi aur wo tunnel parliment house se parliment lodges jahan par inki rehaish hai wahan jaegi aur ye sara paisa mera aur apka hai jo hum detay hain...kya aise halat k hote hue ap ko aisa lagta hai k us tarhan ka lifestyle change hoga
agar aisa hona he hota k logon ne pehle walay halat pe ana tha to jab cheni mehngi hue to logon ko cheni lena chordeni chahye the koi alternate gur ya shakar use karlena chahye tha, atay ka buhran aya to b koi aur policy nahi lines main lag lag k ata lya gya, bijli ka buhran aya to generator, ups ka time agya candles mahengi hogae, cng ka masla aya logon ne cycles chalana shuru nahi ki balkay lines main kharay rehte the wait karte the k jab cars main cng khatam hojae to petrol pe ajatay the aur jinki cars main petrol kam nahi kar rha hota tha wo log wait karte hain k jis din gas milegi us din gas dalwain
main apni he bat karta hoon q kisi dosre ki bat karon meri university mere ghar se 28km dor hai rozana car pe mjhe 55 mins lagtay hain agar main apni car se jaon ab main cycles se jata hoon to na na karte b mjhe 2hours 30 mins to sirf janay k he lagne hain aur itni cycle chalana aur phir wahan ja kar parhna possible hai kya
dor badal chuka hai ab itna ez nahi hai ye sab ez to kya mere hisab se to mojoda halat main impossible hai
aur u kaise practical batain kar rahi ho meko nahi samjh aing jab aik chez hai he nahi applicable to kaise hojae ye sab
g han offers ae hain aur sab in baton se bakhobi waqif hai china ne kaha tha k sirf 300rs bill aega har ghar ka aur unlimited bijli use karsakta hai har koi magar kya govt mani is bat klye...iran ki b kuch aise he offer the
aur kinko ap batain share karne ki batain kar rahi ho
jinko apne enter karna tha wo to enter hain ghar main hamaray he banday martay hain khulay am aur phir end main riha ho kar chalay jatay hain hamaray he ministers unki wakalat kar rahay hote hain k nahi g wo to tha he diplomat
apko khud apne baray main itna nahi pata hoga jitna k apk baray main auron ko pata hai ye jo sara nadra ka data store horaha hai ye apka ka kya khayal hai ye hamaray mulk klye hai agar aisa sochti ho ap to bilkul galat ho ap
phir se yehi kahonga k be practical
kehne main aur karne main farq hota hai
DUA...MUST READ AND MUST FORWARD
Then Which Of The Favours Of Your LORD Will You Deny?
"Be In This World As If You Were A Stranger Or A Traveler"
(Bukhari)
ab u khud dekhlo k kya hal hochuka hai u ki post ki pehli he line k dar tha u ko b k lite na chali jae...ab hum aise hochuke hain k lite tak ka dar rhta hai humen k jaldi jaldi karlen kam kahin lite na chali jae ye haqeqat hai k ab aisa ho chuka hai
apne fruit wali misal di to jab humain aik chez nahi milti to hum dosre shopkeeper se letay hain k humain mil jae wo chez jo k ho nahi paraha yahan par q k kisi dosre ko ane he nahi dya jaraha hai petrol industry electricity kisi dosre ko bananay he nae derahi jaise k coal aur gas se b ban sakti hai electricity magar banne nahi di jarahi hai petrol mehnga kya jata hai to bijli b mehngi hoti hai...
u khud batao k agar u ko aik chez nahi milti to u jati ho kisi aur shopkeeper k pas
yahan par govt ne khair khwahi ka dawa kya jaraha hai magar ye kaisi khairkhawahi hai k aik chez jo achi mil rahi hai usko ane nahi dya jaraha hai aur galat tareqay se chez faraham ki jarahi hai
aur kabi b ap aik chez k paise daine k bad aise suffer nahi karna chahogi jaise abi in halat main kar rahi ho asal bat yeh hai k inhone purani use ki hue bijli ka paisa companies ko nahi dya balkay khud apne accounts main bhar lya aur wo paisa un companies tak nahi gya jis par unhone bijli banana band kardi
aur sari khawari lagi awam ki jo unhone pay kardya uska he unko khamyaza bhugatna par raha hai apne mjhe kaha k main media ko dekhon to ye bat b media pe achuki hai k paisa companies tak nahi puhncha jis par unhone bijli banana band kardi
aur us paise ki nisbat more the 40 times paisa inhone bahir se ups energy savers generators in chezon ko import karwanay pe lagadye
u ne kaha k bijli k wazer ko kuch nahi kaha jata wo achay bantay rehtay hain unki tarefain hoti rehti hain aur wapda k officers pit te hain
to main b yehi keh raha hoon main b k govt he kharab hai unko he kuch nahi kaha jaraha even u apna he case lelo u khud tyar nahi ho unko kuch kehne ko unki favour main he bat kar rahi ho
soraj chand ki bat ki u ne to garmi main banda soraj ki roshni se faida uthae n rat ko chand ki roshni se yehi kahana u ne but kya sirf insan ko din main sirf roshni ki he zarorat hoti hai aur kisi chez ki zarorat nahi hoti usi puranay zamanay main jain k kapray hathay se bunnay jain mills factories band hojain
kitni qurbani
jitni qurbani awam ne in 3 sal main di itni pori history main inse pehle jitna time guzra nahi di
jitni mehngai inhone ki kahin aur nahi hue aur abi b sabar
media ko to hargiz na dekhe media khud kuch kehti hai aur phir apni bat se he phir jati hai media ne kafi saray cases main Pakistan ko he terrorist banadya mumbai attacks pe dawn news aur geo news ne to us bande ka taluq b Pakistan se sabit kardya tha jo Pakistan se tha he nahi
u band karwanay ki bat karti ho na k jo bill nahi deta band karden jab wo log band karne jatay hain unki bijli to pit kar wapis atay hain magar na unki bijli kattay hain na he unse bill le sakte hain
u pata nahi kis dunya main rehti ho practical ho kar nahi soch rahi in baton ko
Kashmir k baray main sab familiar hain k wo kaise hai awam wahan ki yahan rehte hue kehte hain k hum Pakistan main nahi kashmir mai hain aur jab visa pasport time ata hai to Pakistani ban jatay hain wahan par bijli yehi sari use horahi hai magar wahan par kisi aik ka bill 300 se oper nahi ata aur agar ajae to rola daltay hain larai jhagray mar peet par bat ajati hai k 300 se zada bill kaise agya
mere han kafi drivers aise reh chuke hain jo kashmir se the wo khud is bat ka aitiraf kar k gae hain aur karachi ki misal b dhaki chupi nahi hai kya hal hain karachi k u khud dekho aur insan jab kuch dekhta hai nazar dorata hai tab he usko halat ka andaza hota hai u jin points ko base bana rahi ho wo sab baseless hain halat se hat kar hain
bijli katdena itna asan hota to kab ki katchuke hote ye log
wo to mane dekha he itne chote chote replies dekh kar u k k u behas main nahi parti
DUA...MUST READ AND MUST FORWARD
Then Which Of The Favours Of Your LORD Will You Deny?
"Be In This World As If You Were A Stranger Or A Traveler"
(Bukhari)