Darman-e-Gham-e-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya,



Tumhain Ab Meri Khaber Ho To Mujhy Kya?



Jab Ho Gai Gam Sy Meri Dunya Teh-o-Bala,



Ab Ek Jahan Zair-o-Zabar Ho To Mujhy Kya?



Jab Khaaq Bhi Baqi Na Rahi Qalb-o-Jigar Ki,



Ab Koi Mere Liye Khaaq Basar Ho To Mujhy Kya?



Han Ab DiL-e-Veraa'n Me Ujala Nahi Hota,



Tum Gherat-e-Khursheed-o-Qamar Ho To Mujhy Kya?


Aur Hy Ab Meri Dunya Me Sarasar Shab-e-Furqat,



Ab Is Shab-e-Furqat Ki Sehar Ho Tu Mujhy Kya?



Achha Hy Bin FARAZ K Guzar Jaye Kisi Ki,




Aur Phir Bhi Kisi Ki Na Guzar Ho Tu Mujhy Kya...