-
zindagi ke mele main
zindagi ke mele mein
khvaahishon ke rele mein
tum se kyaa kahen jaanaa
is qadar jhamele mein
vaqt ki ravaani hai
bakht ki giraani hai
sakht bezamini hai
sakht laamakani hai
hijr ke samandar mein
takht aur takhte ki
ek hi kahaani hai
tum ko jo sunaani hai
baat go zaraa si hai
baat umr bhar ki hai
umr bhar ki baatein kab
do ghadii mein hoti hain
dard ke samandar mein
anginat jaziren hain
beshumaar moti hain
aankh ke dariche mein
tum ne jo sajaaya thaa
baat us diye ki hai
baat us gile ki hai
jo lahuu ki khilvat mein
chor ban ke aata hai
lafz ke fasilon par
tuut tuut jaataa hai
zindagi se lambi hai
baat rat_jage ki hai
raaste mein kaise ho
baat takhaliye ki hai
takhaliye ki baaton mein
guftaguu izaafi hai
pyaar karane vaalon ko
ik nigaah kaafi hai
ho sake to sun jaao
ek din akele mein
tum se kyaa kahen jaanaan
is qadar jhamele mein
-
Re: zindagi ke mele main
thanks for your sharing dear..
-
Re: zindagi ke mele main
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules