Tujhey Kya Maloom
tujh se milney ka asar mujh pe hoa ha jana
mere siney men tera pyar basa ha jana
phir se ayi ha khayalon pe taghazul ki bahar
dil k sehra men koi phol khila ha jana
men agar chand se tasbeeh tujhey deta hon
tere chehrey ki chamak mujh se gila karti ha
jo men kehta hon tere lab hen gulabon ki tarah
surkh honton ki chatak mujh se gila karti ha
men ne dekha ha takhayyul k beyabanon men
tere har naqsh e kaf e pa se chaman bantey hen
baarha teri mohabbat men hoa ha yon bhi
khas o khashak baharon ka chalan bantey hen
to ha ik husn ka shahkar tujhey kya maloom
tere andaz niraley hen nirali to ha
mere ehsas men roshan ha teri subh e jamal
mera arman meri roh e khayali to ha
kash le kar to kabhi apni rifaqat ka charagh
gham ki tareek masafat se nikaley mujh ko
tor kar rasmon rawajon k puraney bandhan
pas a kar mere , siney se laga le mujh ko
by Yawar Azeem.