Ghalib ke bolte misre jab jaban
per chare hon aur aapke tever 'Tanj'
nukma hue to kya aser hoga zara gaur
phermayen:

(1)
Wo aayen ghar main hamare Khuda
ki kudret hai ki kabhi hum unko aur
kabhi TV ko aur Wo kabhi humko dekhte
kabhi Beevi ko dekhte hai.


(2)

Jo aankh se na tapka wo lahu kya hai
Jo aankh main na khatke wo Bahu kya hai.

(3)

Daayam para hua hoon tere gher per, yahin hoon mai,
Aakhir kiraye daar hoon . kamter nahin hoon.

(4)

Unke aane se aajati hai serkon pe ronak
Wo smajhte hain Shaher ka haal ache hain.

(5)

Beech raaste main jo baithi hai wo Bhains hai janab,
Jo uthaye na uthe aur bin uthaye na bane.

(6)

Rang layegi hamari faka-masti ek din
Dak laayegi hamari Gratuity ek din.

(7)

Keemton pe jor nahin hai ye wo aatish 'Ghalib'
Jo ghataye na ghate aur bin baraiye na bane.

(8)

Chand Kavitaon (poetry) ke purze chand kiraye ki rasiden,
Baad merne ke mere ghar se ye saaman nikla.