awesome
Pehle main chain se soya karti thi,
ab raaton ko karwatein badalne lagi hoon
pehle main sabse bohat baatein kiya karti thi,
ab chup chaap rehne lagi hoon.
pehle main mehfilon main raha karti thi,
ab akeli rehne lagi hoon.
Un se mulaqaat hone ke baad,
jaane kyun us ke baare main hi sochne lagi hoon.
zindagi ke safar main akele chalte chalte achanak,
us ke saath chalne ki khuwahish karne lagi hoon
bhale hi woh mujh se door hai par,
har gharri us ki aahat mehsoos karne lagi hoon.
pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hoon.
main apni khud ki haalat pe hairaan hoon,
main aisi kyun hone lagi hoon?
mujhe aisa lagta hai keeeeeeeeh ………….!!!!!
shaayad main us se pyaar karne lagi hoon..!!!!
awesome
bhale hi woh mujh se door hai par,
har gharri us ki aahat mehsoos karne lagi hoon.
Bari bahtareen ghazal se
nawaza aapne. Behad shukriya.Is aahat
shabd pe mujhe kuch yaad agaya, gaur
keejiyega:
Jara se aahat hoti hai to dil
poonchta hai, kahi ye wo to nahin,
kahin ye wo to nahin.
thanks
GooD SharinG......
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
Gazal padh tan ehi lagda wa k twano v loveria ho gaya wa.