Wah Mohterma kya
baat hai. Kaabile tareef,
baahtareen Nazm pesh ki
aapne. Khuda salamat rakhe aapko.
Agar kabhi meri yaad aaye
Tau chaand raaton ki naram dil geer roshni main
Kisi sitaarey ko dekh lena
Agar voh Nakhl Falak se urr kar tumhaarey qadmon main aagirey Tau
yeh jaan lena
Voh ista'ara tha merey dil ka
Agar na aaye......
Magar yeh mumkin hi kis tarah hai keh tum kisi per nigaah daalo
Tau uski deewar e jaan na tootey
Voh apni hasti na bhool jaaye!!!
Agar kabhi meri yaad aaye
Gureiz karti hava ki lehron pey haath rakhna
Main khushbu'on main tumhein miloon ga
Mujhey gulaabon ki pattiyon main talaash karna
Main Oas qatron k aai-non main tumhein miloon ga
Agar sitaaron main, Oas qatron main khushbu-on main
Nah paao mujhko
Tau apney qadmon main dekh lena
Main gird hoti masafaton main tumhein miloon ga
Kahin pe roshan chiraagh dekho tau jaan lena
Keh har patangey k saath main bhi bikhar chuka hun
Tum apney haathon se un patangon ki khaak darya main daal dena
Main khaak ban kar samanderon main safar karoon ga
Kisi na dekhey huwe jazirey pe rukk kar tumhein sadaayen doon ga
Samandaron k safar pe niklo
Tau is jazirey pe bhi utarna...!!!
Wah Mohterma kya
baat hai. Kaabile tareef,
baahtareen Nazm pesh ki
aapne. Khuda salamat rakhe aapko.
Last edited by R. M. Dixit; 26-08-2011 at 10:17 AM.
Wah...
Very Nice Sharing........
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!