-
Ghazal:Aakhri bar tu saahil se sadah de mujhko.
Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko,
Ungliyaan pheir Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko..!
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon,
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko..!
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin,
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko..!
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah,
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko..!
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai,
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko..!
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se,
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko..!
!Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main,
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko..!!!
-
Re: Ghazal:Aakhri bar tu saahil se sadah de mujhko
MAY OUR COUNTRY PROGRESS IN EVERYWHERE AND IN EVERYTHING SO THAT THE WHOLE WORLD SHOULD HAVE PROUD ON US
PAKISTAN ZINDABAD
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules